rakho mohin aapni chhaya
rakho mohīñ aapnī chhāyā
lagai nahi rāvrī maayā
kirpā ab kījiye devā
kārau tum charan kī sevā
aasik tujh khojtā haare
milhu māsūk aa pyāre
kahauñ kā bhaag maiñ apnā
dehu jab ajap kā japnā
alakh tumharo na lakh paa.ī
dayā kari dehu batlā.ī
vaari vaari jaavñ parbhu terī
khabri kachhu lījiye merī
saran maiñ aay maiñ giirā
jaano tum sakal par piirā
antarjamī sakal Dero
chhipo nahiñ kachhu karam mero
ajab sāhab terī ichchhā
karo kachhu prem kī sichhā
sakal ghaT ek hau aapai
dūsar jo kahai mukh kāpai
nirgun tum aap gun-dhārī
achar char sakal nar naarī
jaano nahi dev maiñ duujā
'bhīkhā' ik aatmā puujā
rakho mohin aapni chhaya
lagai nahi rawri maya
kirpa ab kijiye dewa
karau tum charan ki sewa
aasik tujh khojta haare
milhu masuk aa pyare
kahaun ka bhag main apna
dehu jab ajap ka japna
alakh tumharo na lakh pai
daya kari dehu batlai
wari wari jawn parbhu teri
khabri kachhu lijiye meri
saran main aay main gira
jaano tum sakal par pira
antarjami sakal Dero
chhipo nahin kachhu karam mero
ajab sahab teri ichchha
karo kachhu prem ki sichha
sakal ghaT ek hau aapai
dusar jo kahai mukh kapai
nirgun tum aap gun-dhaari
achar char sakal nar nari
jaano nahi dew main duja
'bhikha' ek aatma puja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.