Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mubaarak saaqii-e-mastaa.n mubaarak

Bedam Shah Warsi

mubaarak saaqii-e-mastaa.n mubaarak

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    mubaarak saaqii-e-mastaa.n mubaarak

    faroG-e-majlis-e-rindaa.n mubaarak

    jabiin-e-shauq ke sajdo.n pe sajde

    tujhe sa.ng-e-dar-e-jaanaa.n mubaarak

    tajalli-e-jamaal-e-ruu-e-jaanaa.n

    tujhe ai diida-e-hairaa.n mubaarak

    adaa-e-dilbarii-o-dil-navaazii

    tujhe ai KHusrav-e-KHuubaa.n mubaarak

    ridaa-e-KHvaajagii taaj-e-vilaayat

    tumhe.n ai murshid-e-dauraa.n mubaarak

    kisii ke zaKHm-haa-e-dil ko yaa-rab

    kisii kii jumbish-e-mizhgaa.n mubaarak

    dar-e-'vaaris' pe hai 'bedam' kaa bistar

    tirii jannat tujhe rizvaa.n mubaarak

    mubaarak saaqii-e-mastaa.n mubaarak

    faroG-e-majlis-e-rindaa.n mubaarak

    jabiin-e-shauq ke sajdo.n pe sajde

    tujhe sa.ng-e-dar-e-jaanaa.n mubaarak

    tajalli-e-jamaal-e-ruu-e-jaanaa.n

    tujhe ai diida-e-hairaa.n mubaarak

    adaa-e-dilbarii-o-dil-navaazii

    tujhe ai KHusrav-e-KHuubaa.n mubaarak

    ridaa-e-KHvaajagii taaj-e-vilaayat

    tumhe.n ai murshid-e-dauraa.n mubaarak

    kisii ke zaKHm-haa-e-dil ko yaa-rab

    kisii kii jumbish-e-mizhgaa.n mubaarak

    dar-e-'vaaris' pe hai 'bedam' kaa bistar

    tirii jannat tujhe rizvaa.n mubaarak

    Source :
    • Book : Nurul-Ain: Mosahhaf-e-Bedam (Pg. 95)
    • Author : Bedam Shah Warsi
    • Publication : Shaikh Ata Mohammad, Lahore (1935)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now