merii fanaa me.n gar hai baqaa phir kisii ko kyaa

Asrarullah Shah Ghausi
MORE BYAsrarullah Shah Ghausi
merii fanaa me.n gar hai baqaa phir kisii ko kyaa
parde ko mai.n rakhaa na rakhaa phir kisii ko kyaa
paa luu.ngaa apne-aap sazaa phir kisii ko kyaa
kahtaa huu.n jo lafz-e-anaa phir kisii ko kyaa
ye baat ho ravaa na ravaa phir kisii ko kyaa
vaa'iz siikhaa na qaa.ede mujh ko sujuud ke
parvaaz merii dekh to baahar huduud ke
jazbaat bahr-o-bar me.n hai.n merii numuud ke
ye KHair-o-shar sifaat mirii hii vujuud ke
baahar buraa huu.n yaa ki bhalaa phir kisii ko kyaa
shiirii.n-dahan ke saaz se naGme sunaa to mai.n
behosh rah ke hosh kii baate.n kiyaa to mai.n
saaqii ke paa-e-naaz pe sajde kiyaa to mai.n
luqma haraam khaa ke bhii saalik rahaa to mai.n
kaafir banaa to aap banaa phir kisii ko kyaa
'hamdam' hai ri.nd garche nahii.n muttaqii 'ubaid
ai shaiKH shar.a tum ko ravaa pandito.n ko vaid
tum jaante nahii.n ho agar surKH aur sufed
kyuu.n puuchhte ho ’aashiq-e-KHvaaja mu.ii.n se bhed
us ne kahaa kahaa na kahaa phir kisii ko kyaa

- Book : Haqeeqat-e-Tauheed (Pg. 66)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.