Font by Mehr Nastaliq Web

hai.n arz-o-samaa sab tah-e-farmaan-e-mohammad

Fateh Muhammad Haqeer

MORE BYFateh Muhammad Haqeer

    hai.n arz-o-samaa sab tah-e-farmaan-e-mohammad

    hai zill-e-KHudaa saaya-e-daamaan-e-mohammad

    kis tarh na maKHluuq ho qurbaan-e-mohammad

    laulaak ki naazil-shuda dar shaan-e-mohammad

    juzviist ze-ausaaf-e-faraavaan-e-mohammad

    naa't-e-nabavii KHaama se kis tarh raqam ho

    allāh ho qur.aan me.n KHud jis kaa sanaa-go

    taa'riif likhe us kii nahii.n taab bashar ko

    az banda-e-be-chaara che aayad sifat-e-uu

    jibriil-e-amii.n ast sanaa-kHvaan-e-mohammad

    mushtaaq hu.aa KHaaliq-e-akbar shab-e-me'araaj

    bulvaayaa inhe.n haq ne falak par shab-e-me'araaj

    nabiyo.n ko hu.ii 'iid muyassar shab-e-me'araaj

    bar arsh chu uftaad nazar dar shab-e-me'araaj

    gashtand malaa.ik hama qurbaan-e-mohammad

    darvaaze se us ke phiraa kab ko.ii tahii-dast

    saalik ho vo majzuub ho yaa ho vo ko.ii mast

    mahrūm za-faizasht na kase shaiKH na shaab ast

    dar zaat-e-shariifash hamagii rahmat-e-haq ast

    bar jumla KHalaa.iq buvad ehsaan-e-mohammad

    adyaan-o-milal jumla nabiyo.n ke hue past

    par diin-e-mohammad hii rihaa sab me.n zabardast

    shak niist dar ii.n qaul ki ii.n she'r bajaa hast

    uu har che ba-farmuud durust asat-o-ba-haq ast

    az jaan-o-dilam taabe'-e-farmaan-e-mohammad

    rakh dil me.n haqiir apne nahii.n KHauf-e-jahannam

    bkHshaa.eng KHaaliq se mujhe shaafe'-e-'aalam

    af’aal nahii.n nek hue mujh se kassii dam

    har chand za-hasnaat tahii-dast tar aa.aim

    Gam niist ki dast-e-man-o-daamaan-e-mohammad

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now