Font by Mehr Nastaliq Web

gahe naGma-sanjii gahe aah-o-zaarii

Hameed Siddiqui Lakhnavi

gahe naGma-sanjii gahe aah-o-zaarii

Hameed Siddiqui Lakhnavi

MORE BYHameed Siddiqui Lakhnavi

    gahe naGma-sanjii gahe aah-o-zaarii

    hama kaif-o-mastii hama hoshyaarii

    zahe lazzat-e-diid-e-mahbuub-e-baarii

    tasavvur pe bhii be-KHudii sii hai taarii

    kahaa.n le ke aa.ii mohabbat hamaarii

    dilam gasht be-gaana-e-raahat-o-Gam

    KHushaa jazb-e-kaamil ki az KHud guzashtam

    che goyam hadiis-e-huzuurii che goyam

    bayaa.n kyaa ho josh-e-masarrat kaa 'aalam

    bas ik diida-o-dil pe hairat hai taarii

    tapiidam chu parvaana-e-sham'-e-mahfil

    za-dil mahv shud har tamannaa-e-baatil

    che pursii za-kaifiiyat-e-diid-e-kaamil

    huzuurii hu.ii jis qadar dil ko haasil

    ba.Dhii aur bhii shauq kii be-qaraarii

    dilam aatish-e-'ishq-e-sozaa.n chu mash'al

    labam naGma pairaa-e-naa't-e-musajjal

    ba-zauq-e-tamaam-o-ba-shauq-e-mukammal

    zabaa.n par duruud-o-salaam-e-musalsal

    kabhii sajda-rezii kabhii ashk-baarii

    za-be-taabii-e-zauq-o-shauq-e-nahufta

    junuu.n aashnaa-e-che durdaana sufta

    dil-o-jaa.n nisaarash ki mastaana gufta

    'hamiid' apnaa dil misl-e-gul hai shagufta

    ye mahkii fazaa.e.n ye baad-e-bahaarii

    gahe naGma-sanjii gahe aah-o-zaarii

    hama kaif-o-mastii hama hoshyaarii

    zahe lazzat-e-diid-e-mahbuub-e-baarii

    tasavvur pe bhii be-KHudii sii hai taarii

    kahaa.n le ke aa.ii mohabbat hamaarii

    dilam gasht be-gaana-e-raahat-o-Gam

    KHushaa jazb-e-kaamil ki az KHud guzashtam

    che goyam hadiis-e-huzuurii che goyam

    bayaa.n kyaa ho josh-e-masarrat kaa 'aalam

    bas ik diida-o-dil pe hairat hai taarii

    tapiidam chu parvaana-e-sham'-e-mahfil

    za-dil mahv shud har tamannaa-e-baatil

    che pursii za-kaifiiyat-e-diid-e-kaamil

    huzuurii hu.ii jis qadar dil ko haasil

    ba.Dhii aur bhii shauq kii be-qaraarii

    dilam aatish-e-'ishq-e-sozaa.n chu mash'al

    labam naGma pairaa-e-naa't-e-musajjal

    ba-zauq-e-tamaam-o-ba-shauq-e-mukammal

    zabaa.n par duruud-o-salaam-e-musalsal

    kabhii sajda-rezii kabhii ashk-baarii

    za-be-taabii-e-zauq-o-shauq-e-nahufta

    junuu.n aashnaa-e-che durdaana sufta

    dil-o-jaa.n nisaarash ki mastaana gufta

    'hamiid' apnaa dil misl-e-gul hai shagufta

    ye mahkii fazaa.e.n ye baad-e-bahaarii

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now