yar rahe ya-rab tu mera aur main tera yar rahun
yar rahe ya-rab tu mera aur main tera yar rahun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
Interesting Fact
مناجات۔
yaar rahe yā-rab tū merā aur maiñ terā yaar rahūñ
mujh ko faqat tujh se ho mohabbat ḳhalq se meñ be-zār rahūñ
har dam zikr-o-fikr meñ tere mast rahūñ sarshār rahūñ
hosh rahe na mujh ko kisī kā terā magar hushiyār rahūñ
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
tere sivā mā’abūd-e-haqīqī koī nahīñ hai koī nahīñ
tere sivā maqsūd-e-haqīqī koī nahīñ hai koī nahīñ
tere sivā maujūd-e-haqīqī koī nahīñ hai koī nahīñ
tere sivā mash.hūd-e-haqīqī koī nahīñ hai koī nahīñ
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
donoñ jahāñ meñ jo kuchh bhī hai sab hai tere zer-e-nagīñ
jinn-o-ins-o-hūr-o-malā.ik 'arsh-o-kursī charkH-e-zamīñ
kaun-o-makāñ meñ lā.iq-e-sajda tere sivā ai nūr-e-mubīñ
koī nahīñ hai koī nahīñ hai koī nahīñ hai koī nahīñ
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
sab bande haiñ koī nabī ho yā ho valī yā shāhanshāh
bāġh-e-do-'ālam bhī hai tirī qudrat ke huzūr ik barg-e-kāh
kyuuñ na maiñ qaa.il huuñ ki hazāroñ terī ḳhudā.ī ke haiñ gavāh
ḳhār-o-gul aflāk-o-kavākib koh-o-dariyā mehr-o-māh
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
terā gadā ban kar maiñ kisī kā dast-e-nigar ai shaah na huuñ
banda-e-māl-o-zar na banūñ maiñ tālib-e-'izz-o-jāh na huuñ
raah pe terī paḌ ke qiyāmat tak maiñ kabhī be-rāh na huuñ
chain na luuñ maiñ jab tak rāz-e-vahdat se āgāh na huuñ
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
yaad meñ terī sab ko bhulā duuñ koī na mujh ko yaad rahe
tujh par sab ghar-bār luTā duuñ ḳhāna-e-dil ābād rahe
sab ḳhushiyoñ ko aag lagā duuñ ġham se tire dil shaad rahe
sab ko nazar se apnī girā duuñ tujh se faqat fariyād rahe
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
sab se maiñ ho jā.ūñ mustaġhnī fazl ho pesh-e-nazar terā
ab to rahūñ maiñ ai mere daatā bas ik dast-e-nigar terā
toḌ ke paañv paḌ jā.ūñ chhoḌūñ na kabhī ab dar terā
'ishq samā jaa.e ragz-rag meñ dil meñ ho mere ghar terā
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
nafs-o-shaitāñ donoñ ne mil kar haaye kiyā hai mujh ko tabāh
ai mere maulā merī madad kar chāhtā huuñ maiñ terī panāh
mujh-sā ḳhalq meñ koī nahīñ go bad-kirdār-o-nāma-siyāh
tū bhī magar ġhaffār hai yā-rab baḳhsh de mere saare gunāh
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
mujh ko sarāpā zikr banā de zikr tirā ai mere ḳhudā
nikle mere har bun mū se zikr tirā ai mere ḳhudā
ab to kabhī chhoḌe bhī na chhūTe zikr tirā ai mere ḳhudā
halaq se nikle saañs ke badle zikr tirā ai mere ḳhudā
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
jab tak qalb rahe pahlū meñ jab tak tan meñ jaan rahe
lab pe terā naam rahe aur dil meñ terā dhyān rahe
jazb meñ parrāñ hosh raheñ aur 'aql merī hairān rahe
lekin tujh se ġhāfil hargiz dil na mirā ik aan rahe
ab to rahe bas tā-dam-e-āḳhir vird-e-zabāñ ai mere ilaah
lā ilāha-illallāh lā ilāha-illallāh
yar rahe ya-rab tu mera aur main tera yar rahun
mujh ko faqat tujh se ho mohabbat KHalq se mein be-zar rahun
har dam zikr-o-fikr mein tere mast rahun sarshaar rahun
hosh rahe na mujh ko kisi ka tera magar hushiyar rahun
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
tere siwa ma’abud-e-haqiqi koi nahin hai koi nahin
tere siwa maqsud-e-haqiqi koi nahin hai koi nahin
tere siwa maujud-e-haqiqi koi nahin hai koi nahin
tere siwa mashhud-e-haqiqi koi nahin hai koi nahin
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
donon jahan mein jo kuchh bhi hai sab hai tere zer-e-nagin
jinn-o-ins-o-hur-o-malaik 'arsh-o-kursi charkH-e-zamin
kaun-o-makan mein laiq-e-sajda tere siwa ai nur-e-mubin
koi nahin hai koi nahin hai koi nahin hai koi nahin
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
sab bande hain koi nabi ho ya ho wali ya shahanshah
bagh-e-do-'alam bhi hai teri qudrat ke huzur ek barg-e-kah
kyun na main qail hun ki hazaron teri KHudai ke hain gawah
KHar-o-gul aflak-o-kawakib koh-o-dariya mehr-o-mah
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
tera gada ban kar main kisi ka dast-e-nigar ai shah na hun
banda-e-mal-o-zar na banun main talib-e-'izz-o-jah na hun
rah pe teri paD ke qiyamat tak main kabhi be-rah na hun
chain na lun main jab tak raaz-e-wahdat se aagah na hun
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
yaad mein teri sab ko bhula dun koi na mujh ko yaad rahe
tujh par sab ghar-bar luTa dun KHana-e-dil aabaad rahe
sab KHushiyon ko aag laga dun gham se tere dil shad rahe
sab ko nazar se apni gira dun tujh se faqat fariyaad rahe
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
sab se main ho jaun mustaghni fazl ho pesh-e-nazar tera
ab to rahun main ai mere data bas ek dast-e-nigar tera
toD ke panw paD jaun chhoDun na kabhi ab dar tera
'ishq sama jae ragz-rag mein dil mein ho mere ghar tera
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
nafs-o-shaitan donon ne mil kar haye kiya hai mujh ko tabah
ai mere maula meri madad kar chahta hun main teri panah
mujh-sa KHalq mein koi nahin go bad-kirdar-o-nama-siyah
tu bhi magar ghaffar hai ya-rab baKHsh de mere sare gunah
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
mujh ko sarapa zikr bana de zikr tera ai mere KHuda
nikle mere har bun mu se zikr tera ai mere KHuda
ab to kabhi chhoDe bhi na chhuTe zikr tera ai mere KHuda
halaq se nikle sans ke badle zikr tera ai mere KHuda
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
jab tak qalb rahe pahlu mein jab tak tan mein jaan rahe
lab pe tera nam rahe aur dil mein tera dhyan rahe
jazb mein parran hosh rahen aur 'aql meri hairan rahe
lekin tujh se ghafil hargiz dil na mera ek aan rahe
ab to rahe bas ta-dam-e-aKHir wird-e-zaban ai mere ilah
la ilaha-illallah la ilaha-illallah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.