Sufinama

hazir huzur mein shoara-e-dayar hain

Farogh Warsi

hazir huzur mein shoara-e-dayar hain

Farogh Warsi

MORE BYFarogh Warsi

    hāzir huzūr meñ sho.arā-e-dayār haiñ

    maddāh-e-hazrat-e-shah-e-ālī-vaqār haiñ

    ḳhamse agar haiñ sau to qasīde hazār haiñ

    ek un meñ abd-e-āl-o-shah-e-nāmdār haiñ

    un meñ haiñ do sharaf ki hakīm-o-faqīr haiñ

    yaktā haiñ vo ki aap apnī nazīr haiñ

    har ek un meñ fard hai har ek intiḳhāb

    har ek be-misāl hai har ek lā-javāb

    kahtī hai jin ko ḳhalq makān-e-suḳhan baab

    karte haiñ ye ḳhayāl ki mauzūñ miyān-e-ḳhvāb

    mazmūn nazm karte haiñ vo apne haal meñ

    guzre na 'anvarī' ke jo ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ

    'shaidā' ke har kalām vo be-misāliyāñ

    vo 'shāh-benazīr' nāzuk-ḳhayāliyāñ

    mīThī haiñ jin qand-e-mukarrar se gāliyāñ

    aur us 'faroġh'-e-ḳhasta ye be-kamāliyāñ

    kis fan kis hunar yahāñ aadmī nahīñ hai

    daulat to luT rahī hai magar kuchh kamī nahīñ hai

    hazir huzur mein shoara-e-dayar hain

    maddah-e-hazrat-e-shah-e-ali-waqar hain

    KHamse agar hain sau to qaside hazar hain

    ek un mein abd-e-al-o-shah-e-namdar hain

    un mein hain do sharaf ki hakim-o-faqir hain

    yakta hain wo ki aap hi apni nazir hain

    har ek un mein fard hai har ek intiKHab

    har ek be-misal hai har ek la-jawab

    kahti hai jin ko KHalq makan-e-suKHan ka bab

    karte hain ye KHayal ki mauzun miyan-e-KHwab

    mazmun nazm karte hain wo apne haal mein

    guzre na 'anwari' ke jo KHwab-o-KHayal mein

    'shaida' ke har kalam ki wo be-misaliyan

    wo 'shah-benazir' ki nazuk-KHayaliyan

    miThi hain jin ki qand-e-mukarrar se galiyan

    aur us 'farogh'-e-KHasta ki ye be-kamaliyan

    kis fan ka kis hunar ka yahan aadmi nahin hai

    daulat to luT rahi hai magar kuchh kami nahin hai

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 153)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now