Sufinama

holi ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

holi ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

MORE BYNazeer Akbarabadi

    jab phāgun rañg jhamakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    aur daf ke shor dhaḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    pariyoñ ke rañg damakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    ḳhum shīshe jaam jhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    mahbūb nashe meñ jhukte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    ho naach rañgīlī pariyāñ baiThe hoñ gul-rū rañg bhare

    kuchh bhīgī tālaiñ holī kujh naaz adā ke Dhañg bhare

    dil bhūle dekh bahāroñ ko aur kānoñ meñ āhañg bhare

    kuchh table khaḌkeñ rañg bhare kuchh aish ke dam muñh-chañg bhare

    kuchh ghuñghrū taal jhanakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    aur ek taraf dil lene ko mahbūb bhavayyoñ ke laḌke

    har aan ghaḌī gat bharte hoñ kuchh ghaT ghaT ke kuchh baḌh baḌh ke

    kuchh naaz jatāveñ laḌ laḌ ke kuchh holī gāveñ aḌ aḌ ke

    kuchh lachke shoḳh kamar patlī kuchh kuchh haath chale kuchh tan phaḌke

    kuchh kāfir nain maTakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    us rañg-rañgīlī majlis meñ vo ranDī nāchne vaalī ho

    muñh jis chāñd TukḌā ho aur aañkh bhī mai pyālī ho

    bad-mast baḌī matvālī ho har-ān bajātī taalī ho

    mai-noshī ho be-hoshī ho bhaḌve muñh meñ gaalī ho

    bhaḌve bhī bhaḌvā bakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    sāmān jahāñ tak hotā hai is ishrat ke matlūboñ

    vah sab sāmān muhayyā ho aur baaġh khulā ho ḳhūboñ

    har aan sharābeñ Dhaltī hoñ aur DaTh ho rañg ke Dūbūñ

    is aish maze ke aalam meñ ek ġhol khaḌā mahbūboñ

    kapḌoñ par rañg chhiḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    gulzār khile hoñ pariyoñ ke aur majlis tayyārī ho

    kapḌoñ par rañg chhīñToñ se ḳhush-rañg ajab gul-kārī ho

    muñh laal gulābī āñkheñ hoñ aur hāthoñ meñ pichkārī ho

    us rañg bharī pichkārī ko añgiyā par tak kar maarī ho

    sīnoñ se rañg Dhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    ye dhuum machī ho holī aur aish maze jhakkaḌ ho

    us khīñchā-khīñch ghasīTī upar bhaḌve ranDī phakkaḌ ho

    ma.ajūn sharābeñ naach maza aur Tikiyā sulfā kakkaḌ ho

    laḌ-bhiḌ ke 'nazīr' bhī niklā ho kīchaḌ meñ laththaḌ-paththaḌ ho

    jab aise aish mahakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

    jab phagun rang jhamakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    aur daf ke shor dhaDakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    pariyon ke rang damakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    KHum shishe jam jhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    mahbub nashe mein jhukte hon tab dekh bahaaren holi ki

    ho nach rangili pariyan ka baiThe hon gul-ru rang bhare

    kuchh bhigi talain holi ki kujh naz ada ke Dhang bhare

    dil bhule dekh bahaaron ko aur kanon mein aahang bhare

    kuchh table khaDken rang bhare kuchh aish ke dam munh-chang bhare

    kuchh ghunghru tal jhanakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    aur ek taraf dil lene ko mahbub bhawayyon ke laDke

    har aan ghaDi gat bharte hon kuchh ghaT ghaT ke kuchh baDh baDh ke

    kuchh naz jatawen laD laD ke kuchh holi gawen aD aD ke

    kuchh lachke shoKH kamar patli kuchh kuchh hath chale kuchh tan phaDke

    kuchh kafir nain maTakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    us rang-rangili majlis mein wo ranDi nachne wali ho

    munh jis ka chand ka TukDa ho aur aankh bhi mai ki pyali ho

    bad-mast baDi matwali ho har-an bajati tali ho

    mai-noshi ho be-hoshi ho bhaDwe ki munh mein gali ho

    bhaDwe bhi bhaDwa bakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    saman jahan tak hota hai is ishrat ke matlubon ka

    wah sab saman muhayya ho aur bagh khula ho KHubon ka

    har aan sharaben Dhalti hon aur DaTh ho rang ke Dubun ka

    is aish maze ke aalam mein ek ghol khaDa mahbubon ka

    kapDon par rang chhiDakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    gulzar khile hon pariyon ke aur majlis ki tayyari ho

    kapDon par rang chhinTon se KHush-rang ajab gul-kari ho

    munh lal gulabi aankhen hon aur hathon mein pichkari ho

    us rang bhari pichkari ko angiya par tak kar mari ho

    sinon se rang Dhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    ye dhum machi ho holi ki aur aish maze ka jhakkaD ho

    us khincha-khinch ghasiTi upar bhaDwe ranDi ka phakkaD ho

    majun sharaben nach maza aur Tikiya sulfa kakkaD ho

    laD-bhiD ke 'nazir' bhi nikla ho kichaD mein laththaD-paththaD ho

    jab aise aish mahakte hon tab dekh bahaaren holi ki

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now