jahan mein hain ’ibrat ke har-su namune

jahan mein hain ’ibrat ke har-su namune
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
Interesting Fact
درسِ عبرت
jahāñ meñ haiñ ’ibrat ke har sū namūne
magar tujh ko andhā kiyā rañg-o-bū ne
kabhī ġhaur se bhī dekhā hai tū ne
jo mā’mūr the vo mahal ab haiñ suune
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
mile ḳhaak meñ ahl-e-shāñ kaise kaise
makīñ ho ga.e lā-makāñ kaise kaise
hue nāmvar be-nishāñ kaise kaise
zamīñ khā ga.ī naujavāñ kaise kaise
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
zamīñ ke hue log paivand kyā kyā
mulūk-o-huzūr-o-kHudā-vand kyā kyā
dikhā.egā tū zor tā-chand kyā kyā
ajal ne pachhāḌe tanomand kyā kyā
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
ajal ne na kisrā hī chhoḌā na daarā
usī se sikandar sā fāteh bhī haarā
har ik le ke kyā kyā hasrat sudhārā
paḌā rah gayā sab yahī ThāTh saarā
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
yahāñ har ḳhushī hai mubaddal ba-sad ġham
jahāñ shādiyāñ thiiñ vahīñ ab haiñ mātam
ye sab har taraf inqilābāt-e-'ālam
tirī zaat hī meñ taġhayyur meñ har dam
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
tujhe pahle bachpan meñ barsoñ khilāyā
javānī ne phir tujh ko majnūñ banāyā
buḌhāpe ne phir aa ke kyā kyā satāyā
ajal terā kar degī bilkul safāyā
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
yahī tujh ko dhun hai rahūñ sab se baalā
ho zīnat nirālī ho fashion nirālā
jiyā karatā hai kyā yūñhī marne vaalā
tujhe husn-e-zāhir ne dhoke meñ Daalā
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
vo hai ’aish-o-'ishrat kā koī mahal bhī
jahāñ taak meñ har ġhhaḌī ho ajal bhī
bas ab apne is jahl se tū nikal bhī
ye tarz-e-ma’īshat ab apnā badal bhī
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
ye duniyā-e-fānī hai mahbūb tujh ko
huī vaah kyā chiiz marġhūb tujh ko
nahīñ 'aql itnī bhī 'majzūb' tujh ko
samajh lenā ab chāhiye kHuub tujh ko
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
buḌhāpe se pākar payām-e-qazā bhī
na chauñkā na chetā na sambhlā zarā bhī
koī terī ġhaflat kī hai intihā bhī
junūñ tābkai hosh meñ apne aa bhī
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
na dil-dāda-e-she'r-goī rahegā
na girvīda shora-jūī rahegā
na koī rahā hai na koī rahegā
rahegā to zikr-e-nikoī rahegā
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
jab us bazm se uTh ga.e dost aksar
aur uThte chale jā rahe haiñ barābar
ye har vaqt pesh-e-nazar jab hai ye manzar
yahāñ par tirā dil bahaltā hai kyuuñ kar
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
jahāñ meñ kahīñ shor-e-mātam bapā hai
kahīñ fikr-o-fāqa se āh-o-bukā hai
kahīñ shikva-e-jaur-o-makr-o-daġhā hai
ġharaz har taraf se yahī bas sadā hai
jagah jī lagāne kī duniyā nahīñ hai
ye ’ibrat kī jā hai tamāsha nahīñ hai
jahan mein hain ’ibrat ke har su namune
magar tujh ko andha kiya rang-o-bu ne
kabhi ghaur se bhi dekha hai tu ne
jo ma’mur the wo mahal ab hain sune
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
mile KHak mein ahl-e-shan kaise kaise
makin ho gae la-makan kaise kaise
hue namwar be-nishan kaise kaise
zamin kha gai naujawan kaise kaise
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
zamin ke hue log paiwand kya kya
muluk-o-huzur-o-kHuda-wand kya kya
dikhaega tu zor ta-chand kya kya
ajal ne pachhaDe tanomand kya kya
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
ajal ne na kisra hi chhoDa na dara
usi se sikandar sa fateh bhi haara
har ek le ke kya kya hasrat sudhaara
paDa rah gaya sab yahi ThaTh sara
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
yahan har KHushi hai mubaddal ba-sad gham
jahan shadiyan thin wahin ab hain matam
ye sab har taraf inqilabaat-e-'alam
teri zat hi mein taghayyur mein har dam
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
tujhe pahle bachpan mein barson khilaya
jawani ne phir tujh ko majnun banaya
buDhape ne phir aa ke kya kya sataya
ajal tera kar degi bilkul safaya
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
yahi tujh ko dhun hai rahun sab se baala
ho zinat nirali ho fashion nirala
jiya karata hai kya yunhi marne wala
tujhe husn-e-zahir ne dhoke mein Dala
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
wo hai ’aish-o-'ishrat ka koi mahal bhi
jahan tak mein har ghaDi ho ajal bhi
bas ab apne is jahl se tu nikal bhi
ye tarz-e-ma’ishat ab apna badal bhi
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
ye duniya-e-fani hai mahbub tujh ko
hui wah kya chiz marghub tujh ko
nahin 'aql itni bhi 'majzub' tujh ko
samajh lena ab chahiye kHub tujh ko
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
buDhape se pakar payam-e-qaza bhi
na chaunka na cheta na sambhla zara bhi
koi teri ghaflat ki hai intiha bhi
junun tabkai hosh mein apne aa bhi
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
na dil-dada-e-she'r-goi rahega
na girwida shora-jui rahega
na koi raha hai na koi rahega
rahega to zikr-e-nikoi rahega
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
jab us bazm se uTh gae dost aksar
aur uThte chale ja rahe hain barabar
ye har waqt pesh-e-nazar jab hai ye manzar
yahan par tera dil bahalta hai kyun kar
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
jahan mein kahin shor-e-matam bapa hai
kahin fikr-o-faqa se aah-o-buka hai
kahin shikwa-e-jaur-o-makr-o-dagha hai
gharaz har taraf se yahi bas sada hai
jagah ji lagane ki duniya nahin hai
ye ’ibrat ki ja hai tamasha nahin hai
- Book : Dawazda Azkaar-e-Ibrat (Pg. 2)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.