Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jawab-e-shikwa

Allama Iqbal

jawab-e-shikwa

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai

    par nahīñ tāqat-e-parvāz magar rakhtī hai

    qudsi-ul-asl hai rif.at pe nazar rakhtī hai

    ḳhaak se uThtī hai gardūñ pe guzar rakhtī hai

    ishq thā fitnagar o sarkash o chālāk mirā

    āsmāñ chiir gayā nāla-e-bebāk mirā

    pīr-e-gardūñ ne kahā sun ke kahīñ hai koī

    bole sayyāre sar-e-arsh-e-barīñ hai koī

    chāñd kahtā thā nahīñ ahl-e-zamīñ hai koī

    kahkashāñ kahtī thī poshīda yahīñ hai koī

    kuchh jo samjhā mire shikve ko to rizvāñ samjhā

    mujh ko jannat se nikālā huā insāñ samjhā

    thī farishtoñ ko bhī hairat ki ye āvāz hai kyā

    arsh vāloñ pe bhī khultā nahīñ ye raaz hai kyā

    tā-sar-e-arsh bhī insāñ tag-o-tāz hai kyā

    aa ga.ī ḳhaak chuTkī ko bhī parvāz hai kyā

    ġhāfil ādāb se sukkān-e-zamīñ kaise haiñ

    shoḳh o gustāḳh ye pastī ke makīñ kaise haiñ

    is qadar shoḳh ki allāh se bhī barham hai

    thā jo masjūd-e-malā.ik ye vahī aadam hai

    ālim-e-kaif hai dānā-e-rumūz-e-kam hai

    haañ magar ijz ke asrār se nā-mahram hai

    naaz hai tāqat-e-guftār pe insānoñ ko

    baat karne salīqa nahīñ nā-dānoñ ko

    aa.ī āvāz ġham-añgez hai afsāna tirā

    ashk-e-betāb se labrez hai paimāna tirā

    āsmāñ-gīr huā nāra-e-mastāna tirā

    kis qadar shoḳh-zabāñ hai dil-e-dīvāna tirā

    shukr shikve ko kiyā husn-e-adā se ne

    ham-suḳhan kar diyā bandoñ ko ḳhudā se ne

    ham to mā.il-ba-karam haiñ koī saa.il nahīñ

    raah dikhlā.eñ kise rah-rav-e-manzil nahīñ

    tarbiyat aam to hai jauhar-e-qābil nahīñ

    jis se ta.amīr ho aadam ye vo gil nahīñ

    koī qābil ho to ham shān-e-ka.ī dete haiñ

    DhūñDne vāloñ ko duniyā bhī na.ī dete haiñ

    haath be-zor haiñ ilhād se dil ḳhūgar haiñ

    ummatī bā.is-e-rusvā.i-e-paiġhambar haiñ

    but-shikan uTh ga.e baaqī jo rahe but-gar haiñ

    thā brāhīm pidar aur pisar aazar haiñ

    bāda-āshām na.e baada nayā ḳhum bhī na.e

    haram-e-kāba nayā but bhī na.e tum bhī na.e

    vo bhī din the ki yahī māya-e-rānā.ī thā

    nāzish-e-mausam-e-gul lāla-e-sahrā.ī thā

    jo musalmān thā allāh saudā.ī thā

    kabhī mahbūb tumhārā yahī harjā.ī thā

    kisī yakjā.ī se ab ahd-e-ġhulāmī kar lo

    millat-e-ahmad-e-mursil ko maqāmī kar lo

    kis qadar tum pe girāñ sub.h bedārī hai

    ham se kab pyaar hai haañ niiñd tumheñ pyārī hai

    tab-e-āzād pe qaid-e-ramazāñ bhārī hai

    tumhīñ kah do yahī ā.īn-e-vafādārī hai

    qaum maz.hab se hai maz.hab jo nahīñ tum bhī nahīñ

    jazb-e-bāham jo nahīñ mahfil-e-anjum bhī nahīñ

    jin ko aatā nahīñ duniyā meñ koī fan tum ho

    nahīñ jis qaum ko parvā-e-nasheman tum ho

    bijliyāñ jis meñ hoñ āsūda vo ḳhirman tum ho

    bech khāte haiñ jo aslāf ke madfan tum ho

    ho niko naam jo qabroñ tijārat kar ke

    kyā na bechoge jo mil jaa.eñ sanam patthar ke

    safha-e-dahr se bātil ko miTāyā kis ne

    nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā kis ne

    mere ka.abe ko jabīnoñ se basāyā kis ne

    mere qur.ān ko sīnoñ se lagāyā kis ne

    the to aabā vo tumhāre magar tum kyā ho

    haath par haath dhare muntazir-e-fardā ho

    kyā kahā bahr-e-musalmāñ hai faqat vāda-e-hūr

    shikva bejā bhī kare koī to lāzim hai shu.ūr

    adl hai fātir-e-hastī azal se dastūr

    muslim aa.iiñ huā kāfir to mile huur o qusūr

    tum meñ hūroñ koī chāhne vaalā nahīñ

    jalva-e-tūr to maujūd hai muusā nahīñ

    manfa.at ek hai is qaum nuqsān bhī ek

    ek sab nabī diin bhī īmān bhī ek

    haram-e-pāk bhī allāh bhī qur.ān bhī ek

    kuchh baḌī baat thī hote jo musalmān bhī ek

    firqa-bandī hai kahīñ aur kahīñ zāteñ haiñ

    kyā zamāne meñ panapne yahī bāteñ haiñ

    kaun hai tārik-e-ā.īn-e-rasūl-e-muḳhtār

    maslahat vaqt hai kis ke amal me.aar

    kis āñkhoñ meñ samāyā hai shi.ār-e-aġhyār

    ho ga.ī kis nigah tarz-e-salaf se be-zār

    qalb meñ soz nahīñ ruuh meñ ehsās nahīñ

    kuchh bhī paiġhām-e-mohammad tumheñ paas nahīñ

    ke hote haiñ masājid meñ saf-ārā to ġharīb

    zahmat-e-roza jo karte haiñ gavārā to ġharīb

    naam letā hai agar koī hamārā to ġharīb

    parda rakhtā hai agar koī tumhārā to ġharīb

    umarā nashsha-e-daulat meñ haiñ ġhāfil ham se

    zinda hai millat-e-baizā ġhorabā ke dam se

    vā.iz-e-qaum vo puḳhta-ḳhayālī na rahī

    barq-e-tab.ī na rahī shola-maqālī na rahī

    rah ga.ī rasm-e-azāñ rūh-e-bilālī na rahī

    falsafa rah gayā talqīn-e-ġhazālī na rahī

    masjideñ marsiyāñ-ḳhvāñ haiñ ki namāzī na rahe

    yaanī vo sahib-e-ausāf-e-hijāzī na rahe

    shor hai ho ga.e duniyā se musalmāñ nābūd

    ham ye kahte haiñ ki the bhī kahīñ muslim maujūd

    vaz.a meñ tum ho nasārā to tamaddun meñ hunūd

    ye musalmāñ haiñ jinheñ dekh ke sharmā.eñ yahūd

    yuuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho

    tum sabhī kuchh ho batāo to musalmān bhī ho

    dam-e-taqrīr thī muslim sadāqat bebāk

    adl us thā qavī laus-e-marā.āt se paak

    shajar-e-fitrat-e-muslim thā hayā se namnāk

    thā shujā.at meñ vo ik hasti-e-fauq-ul-idrāk

    ḳhud-gudāzī nam-e-kaifiyat-e-sahbā-yash buud

    ḳhālī-az-ḳhesh shudan sūrat-e-mīnā-yash buud

    har musalmāñ rag-e-bātil ke liye nashtar thā

    us ke ā.īna-e-hastī meñ amal jauhar thā

    jo bharosā thā use quvvat-e-bāzū par thā

    hai tumheñ maut Dar us ko ḳhudā Dar thā

    baap ilm na beTe ko agar azbar ho

    phir pisar qābil-e-mīrās-e-pidar kyūñkar ho

    har koī mast-e-mai-e-zauq-e-tan-āsānī hai

    tum musalmāñ ho ye andāz-e-musalmānī hai

    haidarī faqr hai ne daulat-e-usmānī hai

    tum ko aslāf se kyā nisbat-e-rūhānī hai

    vo zamāne meñ muazziz the musalmāñ ho kar

    aur tum ḳhvār hue tārik-e-qur.āñ ho kar

    tum ho aapas meñ ġhazabnāk vo aapas meñ rahīm

    tum ḳhatā-kār o ḳhatā-bīñ vo ḳhatā-posh o karīm

    chāhte sab haiñ ki hoñ auj-e-surayyā pe muqīm

    pahle vaisā koī paidā to kare qalb-e-salīm

    taḳht-e-faġhfūr bhī un thā sarīr-e-ka.e bhī

    yuuñ bāteñ haiñ ki tum meñ vo hamiyat hai bhī

    ḳhud-kushī sheva tumhārā vo ġhayūr o ḳhuddār

    tum uḳhuvvat se gurezāñ vo uḳhuvvat pe nisār

    tum ho guftār sarāpā vo sarāpā kirdār

    tum taraste ho kalī ko vo gulistāñ ba-kanār

    ab talak yaad hai qaumoñ ko hikāyat un

    naqsh hai safha-e-hastī pe sadāqat un

    misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhī hue

    but-e-hindī mohabbat meñ birhman bhī hue

    shauq-e-parvāz meñ mahjūr-e-nasheman bhī hue

    be-amal the javāñ diin se bad-zan bhī hue

    in ko tahzīb ne har band se āzād kiyā

    ke ka.abe se sanam-ḳhāne meñ ābād kiyā

    qais zahmat-kash-e-tanhā.i-e-sahrā na rahe

    shahr khaa.e havā bādiya-paimā na rahe

    vo to dīvāna hai bastī meñ rahe na rahe

    ye zarūrī hai hijāb-e-ruḳh-e-lailā na rahe

    gila-e-zaur na ho shikva-e-bedād na ho

    ishq āzād hai kyuuñ husn bhī āzād na ho

    ahd-e-nau barq hai ātish-zan-e-har-ḳhirman hai

    aiman is se koī sahrā na koī gulshan hai

    is na.ī aag aqvām-e-kuhan īñdhan hai

    millat-e-ḳhatm-e-rusul shola-ba-pairāhan hai

    aaj bhī ho jo brāhīm īmāñ paidā

    aag kar saktī hai andāz-e-gulistāñ paidā

    dekh kar rañg-e-chaman ho na pareshāñ maalī

    Kaukab-e-ġhuncha se shāḳheñ haiñ chamakne vaalī

    ḳhas o ḳhāshāk se hotā hai gulistāñ ḳhālī

    ġhul-bar-andāz hai ḳhūn-e-shohdā laalī

    rañg gardūñ zarā dekh to unnābī hai

    ye nikalte hue sūraj ufuq-tābī hai

    ummateñ gulshan-e-hastī meñ samar-chīda bhī haiñ

    aur mahrūm-e-samar bhī haiñ ḳhizāñ-dīda bhī haiñ

    saikḌoñ naḳhl haiñ kāhīda bhī bālīda bhī haiñ

    saikḌoñ batn-e-chaman meñ abhī poshīda bhī haiñ

    naḳhl-e-islām namūna hai birau-mandī

    phal hai ye saikḌoñ sadiyoñ chaman-bandī

    paak hai gard-e-vatan se sar-e-dāmāñ terā

    vo yūsuf hai ki har misr hai kan.āñ terā

    qāfila ho na sakegā kabhī vīrāñ terā

    ġhair yak-bāñg-e-darā kuchh nahīñ sāmāñ terā

    naḳhl-e-shama astī o dar shola do-resha-e-tū

    āqibat-soz bavad sāya-e-andesha-e-tū

    na miT jā.egā īrān ke miT jaane se

    nashsha-e-mai ko ta.alluq nahīñ paimāne se

    hai ayaañ yurish-e-tātār ke afsāne se

    pāsbāñ mil ga.e ka.abe ko sanam-ḳhāne se

    kashti-e-haq zamāne meñ sahārā hai

    asr-e-nau-rāt hai dhundlā sitārā hai

    hai jo hañgāma bapā yurish-e-bulġhārī

    ġhāfiloñ ke liye paiġhām hai bedārī

    samajhtā hai ye sāmāñ hai dil-āzārī

    imtihāñ hai tire īsār ḳhuddārī

    kyuuñ hirāsāñ hai sahīl-e-faras-e-ādā se

    nūr-e-haq bujh na sakegā nafas-e-ādā se

    chashm-e-aqvām se maḳhfī hai haqīqat terī

    hai abhī mahfil-e-hastī ko zarūrat terī

    zinda rakhtī hai zamāne ko harārat terī

    kaukab-e-qismat-e-imkāñ hai ḳhilāfat terī

    vaqt-e-fursat hai kahāñ kaam abhī baaqī hai

    nūr-e-tauhīd itmām abhī baaqī hai

    misl-e-bū qaid hai ġhunche meñ pareshāñ ho

    raḳht-bar-dosh havā-e-chamanistāñ ho

    hai tunak-māya zarre se bayābāñ ho

    naġhma-e-mauj hai hañgāma-e-tūfāñ ho

    quvvat-e-ishq se har past ko baalā kar de

    dahr meñ ism-e-mohammad se ujālā kar de

    ho na ye phuul to bulbul tarannum bhī na ho

    chaman-e-dahr meñ kaliyoñ tabassum bhī na ho

    ye na saaqī ho to phir mai bhī na ho ḳhum bhī na ho

    bazm-e-tauhīd bhī duniyā meñ na ho tum bhī na ho

    ḳhema-e-aflāk istāda isī naam se hai

    nabz-e-hastī tapish-āmāda isī naam se hai

    dasht meñ dāman-e-kohsār meñ maidān meñ hai

    bahr meñ mauj āġhosh meñ tūfān meñ hai

    chiin ke shahr marāqash ke bayābān meñ hai

    aur poshīda musalmān ke īmān meñ hai

    chashm-e-aqvām ye nazzāra abad tak dekhe

    rif.at-e-shān-e-rafānā-lakā-zikrak dekhe

    mardum-e-chashm-e-zamīñ yaanī vo kaalī duniyā

    vo tumhāre shohdā pālne vaalī duniyā

    garmī-e-mehr parvarda hilālī duniyā

    ishq vaale jise kahte haiñ bilālī duniyā

    tapish-andoz hai is naam se paare tarah

    ġhota-zan nuur meñ hai aañkh ke taare tarah

    aql hai terī sipar ishq hai shamshīr tirī

    mire darvesh ḳhilāfat hai jahāñgīr tirī

    mā-sivā-allāh ke liye aag hai takbīr tirī

    musalmāñ ho to taqdīr hai tadbīr tirī

    mohammad se vafā ne to ham tere haiñ

    ye jahāñ chiiz hai kyā lauh-o-qalam tere haiñ

    dil se jo baat nikaltī hai asar rakhtī hai

    par nahīñ tāqat-e-parwāz magar rakhtī hai

    qudsi-ul-asl hai rifat pe nazar rakhtī hai

    ḳhak se uThtī hai gardūñ pe guzar rakhtī hai

    ishq thā fitnagar o sarkash o chālāk mirā

    āsmāñ chir gayā nāla-e-bebāk mirā

    pīr-e-gardūñ ne kahā sun ke kahīñ hai koī

    bole sayyāre sar-e-arsh-e-barīñ hai koī

    chāñd kahtā thā nahīñ ahl-e-zamīñ hai koī

    kahkashāñ kahtī thī poshīda yahīñ hai koī

    kuchh jo samjhā mere shikwe ko to rizwāñ samjhā

    mujh ko jannat se nikālā huā insāñ samjhā

    thī farishtoñ ko bhī hairat ki ye āwāz hai kyā

    arsh wāloñ pe bhī khultā nahīñ ye raaz hai kyā

    tā-sar-e-arsh bhī insāñ tag-o-tāz hai kyā

    aa gaī ḳhak chuTkī ko bhī parwāz hai kyā

    ġhāfil ādāb se sukkān-e-zamīñ kaise haiñ

    shoḳh o gustāḳh ye pastī ke makīñ kaise haiñ

    is qadar shoḳh ki allāh se bhī barham hai

    thā jo masjūd-e-malāik ye wahī aadam hai

    ālim-e-kaif hai dānā-e-rumūz-e-kam hai

    hañ magar ijz ke asrār se nā-mahram hai

    naz hai tāqat-e-guftār pe insānoñ ko

    baat karne salīqa nahīñ nā-dānoñ ko

    aaī āwāz ġham-añgez hai afsāna tirā

    ashk-e-betāb se labrez hai paimāna tirā

    āsmāñ-gīr huā nāra-e-mastāna tirā

    kis qadar shoḳh-zabāñ hai dil-e-dīwāna tirā

    shukr shikwe ko kiyā husn-e-adā se ne

    ham-suḳhan kar diyā bandoñ ko ḳhudā se ne

    hum to māil-ba-karam haiñ koī sail nahīñ

    rah dikhlāeñ kise rah-raw-e-manzil nahīñ

    tarbiyat aam to hai jauhar-e-qābil nahīñ

    jis se tamīr ho aadam ye wo gil nahīñ

    koī qābil ho to hum shān-e-kaī dete haiñ

    DhūñDne wāloñ ko duniyā bhī naī dete haiñ

    hath be-zor haiñ ilhād se dil ḳhūgar haiñ

    ummatī bāis-e-ruswāi-e-paiġhambar haiñ

    but-shikan uTh gae baqī jo rahe but-gar haiñ

    thā brāhīm pidar aur pisar aazar haiñ

    bāda-āshām nae baada nayā ḳhum bhī nae

    haram-e-kāba nayā but bhī nae tum bhī nae

    wo bhī din the ki yahī māya-e-rānāī thā

    nāzish-e-mausam-e-gul lāla-e-sahrāī thā

    jo musalmān thā allāh saudāī thā

    kabhī mahbūb tumhārā yahī harjāī thā

    kisī yakjāī se ab ahd-e-ġhulāmī kar lo

    millat-e-ahmad-e-mursil ko maqāmī kar lo

    kis qadar tum pe girāñ subh bedārī hai

    hum se kab pyar hai hañ niñd tumheñ pyārī hai

    tab-e-āzād pe qaid-e-ramazāñ bhārī hai

    tumhīñ kah do yahī āīn-e-wafādārī hai

    qaum mazhab se hai mazhab jo nahīñ tum bhī nahīñ

    jazb-e-bāham jo nahīñ mahfil-e-anjum bhī nahīñ

    jin ko aatā nahīñ duniyā meñ koī fan tum ho

    nahīñ jis qaum ko parwā-e-nasheman tum ho

    bijliyāñ jis meñ hoñ āsūda wo ḳhirman tum ho

    bech khāte haiñ jo aslāf ke madfan tum ho

    ho niko nam jo qabroñ tijārat kar ke

    kyā na bechoge jo mil jaeñ sanam patthar ke

    safha-e-dahr se bātil ko miTāyā kis ne

    nau-e-insāñ ko ġhulāmī se chhuḌāyā kis ne

    mere kabe ko jabīnoñ se basāyā kis ne

    mere qurān ko sīnoñ se lagāyā kis ne

    the to aabā wo tumhāre magar tum kyā ho

    hath par hath dhare muntazir-e-fardā ho

    kyā kahā bahr-e-musalmāñ hai faqat wāda-e-hūr

    shikwa bejā bhī kare koī to lāzim hai shuūr

    adl hai fātir-e-hastī azal se dastūr

    muslim aaiñ huā kāfir to mile hur o qusūr

    tum meñ hūroñ koī chāhne walā nahīñ

    jalwa-e-tūr to maujūd hai musā nahīñ

    manfat ek hai is qaum nuqsān bhī ek

    ek sab nabī din bhī īmān bhī ek

    haram-e-pāk bhī allāh bhī qurān bhī ek

    kuchh baḌī baat thī hote jo musalmān bhī ek

    firqa-bandī hai kahīñ aur kahīñ zāteñ haiñ

    kyā zamāne meñ panapne yahī bāteñ haiñ

    kaun hai tārik-e-āīn-e-rasūl-e-muḳhtār

    maslahat waqt hai kis ke amal mear

    kis āñkhoñ meñ samāyā hai shiār-e-aġhyār

    ho gaī kis nigah tarz-e-salaf se be-zār

    qalb meñ soz nahīñ ruh meñ ehsās nahīñ

    kuchh bhī paiġhām-e-mohammad tumheñ pas nahīñ

    ke hote haiñ masājid meñ saf-ārā to ġharīb

    zahmat-e-roza jo karte haiñ gawārā to ġharīb

    nam letā hai agar koī hamārā to ġharīb

    parda rakhtā hai agar koī tumhārā to ġharīb

    umarā nashsha-e-daulat meñ haiñ ġhāfil hum se

    zinda hai millat-e-baizā ġhorabā ke dam se

    wāiz-e-qaum wo puḳhta-ḳhayālī na rahī

    barq-e-tabī na rahī shola-maqālī na rahī

    rah gaī rasm-e-azāñ rūh-e-bilālī na rahī

    falsafa rah gayā talqīn-e-ġhazālī na rahī

    masjideñ marsiyāñ-ḳhwāñ haiñ ki namāzī na rahe

    yanī wo sahib-e-ausāf-e-hijāzī na rahe

    shor hai ho gae duniyā se musalmāñ nābūd

    hum ye kahte haiñ ki the bhī kahīñ muslim maujūd

    waza meñ tum ho nasārā to tamaddun meñ hunūd

    ye musalmāñ haiñ jinheñ dekh ke sharmāeñ yahūd

    yuñ to sayyad bhī ho mirzā bhī ho afġhān bhī ho

    tum sabhī kuchh ho batāo to musalmān bhī ho

    dam-e-taqrīr thī muslim sadāqat bebāk

    adl us thā qawī laus-e-marāāt se pak

    shajar-e-fitrat-e-muslim thā hayā se namnāk

    thā shujāat meñ wo ek hasti-e-fauq-ul-idrāk

    ḳhud-gudāzī nam-e-kaifiyat-e-sahbā-yash bud

    ḳhālī-az-ḳhesh shudan sūrat-e-mīnā-yash bud

    har musalmāñ rag-e-bātil ke liye nashtar thā

    us ke āīna-e-hastī meñ amal jauhar thā

    jo bharosā thā use quwwat-e-bāzū par thā

    hai tumheñ maut Dar us ko ḳhudā Dar thā

    bap ilm na beTe ko agar azbar ho

    phir pisar qābil-e-mīrās-e-pidar kyūñkar ho

    har koī mast-e-mai-e-zauq-e-tan-āsānī hai

    tum musalmāñ ho ye andāz-e-musalmānī hai

    haidarī faqr hai ne daulat-e-usmānī hai

    tum ko aslāf se kyā nisbat-e-rūhānī hai

    wo zamāne meñ muazziz the musalmāñ ho kar

    aur tum ḳhwār hue tārik-e-qurāñ ho kar

    tum ho aapas meñ ġhazabnāk wo aapas meñ rahīm

    tum ḳhatā-kār o ḳhatā-bīñ wo ḳhatā-posh o karīm

    chāhte sab haiñ ki hoñ auj-e-surayyā pe muqīm

    pahle waisā koī paidā to kare qalb-e-salīm

    taḳht-e-faġhfūr bhī un thā sarīr-e-kae bhī

    yuñ bāteñ haiñ ki tum meñ wo hamiyat hai bhī

    ḳhud-kushī shewa tumhārā wo ġhayūr o ḳhuddār

    tum uḳhuwwat se gurezāñ wo uḳhuwwat pe nisār

    tum ho guftār sarāpā wo sarāpā kirdār

    tum taraste ho kalī ko wo gulistāñ ba-kanār

    ab talak yaad hai qaumoñ ko hikāyat un

    naqsh hai safha-e-hastī pe sadāqat un

    misl-e-anjum ufuq-e-qaum pe raushan bhī hue

    but-e-hindī mohabbat meñ birhman bhī hue

    shauq-e-parwāz meñ mahjūr-e-nasheman bhī hue

    be-amal the jawāñ din se bad-zan bhī hue

    in ko tahzīb ne har band se āzād kiyā

    ke kabe se sanam-ḳhāne meñ ābād kiyā

    qais zahmat-kash-e-tanhāi-e-sahrā na rahe

    shahr khae hawā bādiya-paimā na rahe

    wo to dīwāna hai bastī meñ rahe na rahe

    ye zarūrī hai hijāb-e-ruḳh-e-lailā na rahe

    gila-e-zaur na ho shikwa-e-bedād na ho

    ishq āzād hai kyuñ husn bhī āzād na ho

    ahd-e-nau barq hai ātish-zan-e-har-ḳhirman hai

    aiman is se koī sahrā na koī gulshan hai

    is naī aag aqwām-e-kuhan īñdhan hai

    millat-e-ḳhatm-e-rusul shola-ba-pairāhan hai

    aaj bhī ho jo brāhīm īmāñ paidā

    aag kar saktī hai andāz-e-gulistāñ paidā

    dekh kar rañg-e-chaman ho na pareshāñ malī

    Kaukab-e-ġhuncha se shāḳheñ haiñ chamakne walī

    ḳhas o ḳhāshāk se hotā hai gulistāñ ḳhālī

    ġhul-bar-andāz hai ḳhūn-e-shohdā lalī

    rañg gardūñ zarā dekh to unnābī hai

    ye nikalte hue sūraj ufuq-tābī hai

    ummateñ gulshan-e-hastī meñ samar-chīda bhī haiñ

    aur mahrūm-e-samar bhī haiñ ḳhizāñ-dīda bhī haiñ

    saikḌoñ naḳhl haiñ kāhīda bhī bālīda bhī haiñ

    saikḌoñ batn-e-chaman meñ abhī poshīda bhī haiñ

    naḳhl-e-islām namūna hai birau-mandī

    phal hai ye saikḌoñ sadiyoñ chaman-bandī

    pak hai gard-e-watan se sar-e-dāmāñ terā

    wo yūsuf hai ki har misr hai kanāñ terā

    qāfila ho na sakegā kabhī wīrāñ terā

    ġhair yak-bāñg-e-darā kuchh nahīñ sāmāñ terā

    naḳhl-e-shama astī o dar shola do-resha-e-tū

    āqibat-soz bawad sāya-e-andesha-e-tū

    na miT jāegā īrān ke miT jaane se

    nashsha-e-mai ko talluq nahīñ paimāne se

    hai ayañ yurish-e-tātār ke afsāne se

    pāsbāñ mil gae kabe ko sanam-ḳhāne se

    kashti-e-haq zamāne meñ sahārā hai

    asr-e-nau-rāt hai dhundlā sitārā hai

    hai jo hañgāma bapā yurish-e-bulġhārī

    ġhāfiloñ ke liye paiġhām hai bedārī

    samajhtā hai ye sāmāñ hai dil-āzārī

    imtihāñ hai tere īsār ḳhuddārī

    kyuñ hirāsāñ hai sahīl-e-faras-e-ādā se

    nūr-e-haq bujh na sakegā nafas-e-ādā se

    chashm-e-aqwām se maḳhfī hai haqīqat terī

    hai abhī mahfil-e-hastī ko zarūrat terī

    zinda rakhtī hai zamāne ko harārat terī

    kaukab-e-qismat-e-imkāñ hai ḳhilāfat terī

    waqt-e-fursat hai kahāñ kaam abhī baqī hai

    nūr-e-tauhīd itmām abhī baqī hai

    misl-e-bū qaid hai ġhunche meñ pareshāñ ho

    raḳht-bar-dosh hawā-e-chamanistāñ ho

    hai tunak-māya zarre se bayābāñ ho

    naġhma-e-mauj hai hañgāma-e-tūfāñ ho

    quwwat-e-ishq se har past ko baalā kar de

    dahr meñ ism-e-mohammad se ujālā kar de

    ho na ye phul to bulbul tarannum bhī na ho

    chaman-e-dahr meñ kaliyoñ tabassum bhī na ho

    ye na saqī ho to phir mai bhī na ho ḳhum bhī na ho

    bazm-e-tauhīd bhī duniyā meñ na ho tum bhī na ho

    ḳhema-e-aflāk istāda isī nam se hai

    nabz-e-hastī tapish-āmāda isī nam se hai

    dasht meñ dāman-e-kohsār meñ maidān meñ hai

    bahr meñ mauj āġhosh meñ tūfān meñ hai

    chin ke shahr marāqash ke bayābān meñ hai

    aur poshīda musalmān ke īmān meñ hai

    chashm-e-aqwām ye nazzāra abad tak dekhe

    rifat-e-shān-e-rafānā-lakā-zikrak dekhe

    mardum-e-chashm-e-zamīñ yanī wo kalī duniyā

    wo tumhāre shohdā pālne walī duniyā

    garmī-e-mehr parwarda hilālī duniyā

    ishq wale jise kahte haiñ bilālī duniyā

    tapish-andoz hai is nam se pare tarah

    ġhota-zan nur meñ hai aañkh ke tare tarah

    aql hai terī sipar ishq hai shamshīr tirī

    mere darwesh ḳhilāfat hai jahāñgīr tirī

    mā-siwā-allāh ke liye aag hai takbīr tirī

    musalmāñ ho to taqdīr hai tadbīr tirī

    mohammad se wafā ne to hum tere haiñ

    ye jahāñ chiz hai kyā lauh-o-qalam tere haiñ

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now