Sufinama

hilal-e-id

Maikash Akbarabadi

hilal-e-id

Maikash Akbarabadi

MORE BYMaikash Akbarabadi

    chalnā sambhal sambhal ke zarā ai hilāl-e-īd

    laġhzish na de kahīñ tire ko hujūm-e-dīd

    mushtāq aaj terā har ik ḳhās-o-ām hai

    dam le zarā sambhal ke baḌā izhdahām hai

    ye ān-e-sabr-kash ye adā-e-hasīn-tar

    ye e'tidāl-e-nūr ye ḳham qātil-e-nazar

    ye husn-e-sarmadī tajallī jhalak meñ hai

    chashm-e-nīm-bāz tābish palak meñ hai

    darz khul ga.ī hai koī āsmān

    duniyā ko jhāñktī hai tapish us jahān

    chalna sambhal sambhal ke zara ai hilal-e-id

    laghzish na de kahin tere pa ko hujum-e-did

    mushtaq aaj tera har ek KHas-o-am hai

    dam le zara sambhal ke baDa izhdaham hai

    ye aan-e-sabr-kash ye ada-e-hasin-tar

    ye e'tidal-e-nur ye KHam qatil-e-nazar

    ye husn-e-sarmadi ki tajalli jhalak mein hai

    ya chashm-e-nim-baz ki tabish palak mein hai

    ya darz khul gai hai koi aasman ki

    duniya ko jhankti hai tapish us jahan ki

    Source :
    • Book : Maikada (Pg. 24)
    • Author : Maikash Akbarabadi
    • Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now