maine rahat se tere hijr ki raaten kaTin
Interesting Fact
(الناظر، لکھنو)
maiñ ne rāhat se tire hijr kī rāteñ kāTīñ
chārā-sāzāñ bar-andesh kī bāteñ kāTīñ
dil jo taḌpā tirī furqat meñ to ārām rahā
rāt-din tere tasavvur se mujhe kaam rahā
kyā gilā ḳhvāb meñ sūrat na dikhā.ī mujh ko
niiñd hī jab na shab-e-ġham kabhī aa.ī mujh ko
dil mirā jalva-gah-e-tūr nazar aatā hai
har sitāre meñ tirā nuur nazar aatā hai
raat ko jalva-e-mastūr tirā phailā hai
chāñd kā nuur nahīñ nuur tirā phailā
shab ko vā dīda-e-bedār bedār rahā kartā hai
har sitāra mujhe hairat se takā kartā hai
saath merā terā ai ā.īna rahtā thā
vo bhī din yaad haiñ jab sāmne tū rahtā thā
main ne rahat se tere hijr ki raaten kaTin
chaara-sazan bar-andesh ki baaten kaTin
dil jo taDpa teri furqat mein to aaram raha
raat-din tere tasawwur se mujhe kaam raha
kya gila KHwab mein surat na dikhai mujh ko
nind hi jab na shab-e-gham kabhi aai mujh ko
dil mera jalwa-gah-e-tur nazar aata hai
har sitare mein tera nur nazar aata hai
raat ko jalwa-e-mastur tera phaila hai
chand ka nur nahin nur tera phaila
shab ko wa dida-e-bedar bedar raha karta hai
har sitara mujhe hairat se taka karta hai
sath mera tera ai aaina rahta tha
wo bhi din yaad hain jab samne tu rahta tha
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 217)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.