mere dard ko jo zaban mile
Interesting Fact
Written in 1972.
mirā dard naġhma-e-be-sadā
mirī zaat zarā-e-be-nishāñ
mere dard ko jo zabāñ mile
mujhe apnā nām-o-nishāñ mile
merī zaat kā jo nishāñ mile
mujhe rāz-e-nazm-e-jahāñ mile
jo mujhe ye rāz-e-nihāñ mile
mirī ḳhāmushī ko bayāñ mile
mujhe kā.enāt kī sarvarī
mujhe daulat-e-do-jahāñ mile
mera dard naghma-e-be-sada
meri zat zara-e-be-nishan
mere dard ko jo zaban mile
mujhe apna nam-o-nishan mile
meri zat ka jo nishan mile
mujhe raaz-e-nazm-e-jahan mile
jo mujhe ye raaz-e-nihan mile
meri KHamushi ko bayan mile
mujhe kaenat ki sarwari
mujhe daulat-e-do-jahan mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.