rahmatul-lilalamin
yā-rahmatal-lila.alamīn
ilhām jaama hai tirā
qur.āñ amāma hai tirā
mimbar tirā arsh-e-barīñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
ā.īna-e-rahmat badan sāñseñ charāġh-e-ilm-o-fan
qurb-e-ilāhī terā ghar al-faqaro-faḳhrī terā dhan
ḳhushbū tirī jū-e-karam
āñkheñ tirī bāb-e-haram
nūr-e-azal tirī jabīñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
terī ḳhamoshī bhī azaañ nīndeñ bhī terī rat-jage
terī hayāt-e-pāk kā har lamha paiġhambar lage
ḳhairul-bashar rutba tirā
āvāz-e-haq ḳhutba tirā
āfāq tere sāma.īñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
qabza tirī parchhā.īñ kā bīnā.ī par idrāk par
pairoñ kī jumbish ḳhaak par aur āhaTeñ aflāk par
gard-e-safar tāroñ kī zau
markab burrāq-e-tez-rau
sā.īs jibrīl-e-amīñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
tū āftāb-e-ġhār bhī tū parcham-e-yalġhār bhī
ijz-o-vafā bhī pyaar bhī shah-zor bhī sālār bhī
tirī zirah fat.h-o-zafar
sidq-o-safā tirī sipar
teġh-o-tabar sabr-o-yaqīñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
phir gudḌiyoñ ko la.al de jaañ pattharoñ meñ Daal de
haavī hoñ mustaqbil pe ham maazī sā ham ko haal de
da.avā hai terī chaah kā
is ummat-e-gumrāh kā
tere sivā koī nahīñ
yā-rahmatal-lila.alamīn
ya-rahmatal-lilalamin
ilham jama hai tera
quran amama hai tera
mimbar tera arsh-e-barin
ya-rahmatal-lilalamin
aaina-e-rahmat badan sansen charagh-e-ilm-o-fan
qurb-e-ilahi tera ghar al-faqaro-faKHri tera dhan
KHushbu teri ju-e-karam
aankhen teri bab-e-haram
nur-e-azal teri jabin
ya-rahmatal-lilalamin
teri KHamoshi bhi azan ninden bhi teri rat-jage
teri hayat-e-pak ka har lamha paighambar lage
KHairul-bashar rutba tera
aawaz-e-haq KHutba tera
aafaq tere samain
ya-rahmatal-lilalamin
qabza teri parchhain ka binai par idrak par
pairon ki jumbish KHak par aur aahaTen aflak par
gard-e-safar taron ki zau
markab burraq-e-tez-rau
sais jibril-e-amin
ya-rahmatal-lilalamin
tu aaftab-e-ghaar bhi tu parcham-e-yalghaar bhi
ijz-o-wafa bhi pyar bhi shah-zor bhi salar bhi
teri zirah fath-o-zafar
sidq-o-safa teri sipar
tegh-o-tabar sabr-o-yaqin
ya-rahmatal-lilalamin
phir gudDiyon ko lal de jaan pattharon mein Dal de
hawi hon mustaqbil pe hum mazi sa hum ko haal de
dawa hai teri chah ka
is ummat-e-gumrah ka
tere siwa koi nahin
ya-rahmatal-lilalamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.