Sufinama

saqiya daur-e-inqalabi hai

Hasan Imam Warsi

saqiya daur-e-inqalabi hai

Hasan Imam Warsi

MORE BYHasan Imam Warsi

    Interesting Fact

    مرزا غالب کے حضور میں

    sāqiyā daur-e-inqalābī hai

    ḳhūn-e-dil se bharī gulābī hai

    bazm-e-peshīniyāñ huī barham

    ibrat-añgez ab sāġhar-e-jam

    tūs-o-ganja ho ki nīshāpūr

    ab nahīñ hai kahīñ sarā-e-surūr

    dehlī aur lucknow nahīñ Tiksāl

    akbarabad hai abtar haal

    ujḌī bastī hai ab azīmābād

    dil-e-nāshād meñ ghuTī fariyād

    ab arab zabāñ bhī vo nahīñ

    un tarz-e-bayāñ bhī vo nahīñ

    ahl-e-īrāñ fārsī vo kahāñ

    haath kañgan ko aarsī vo kahāñ

    phir bhī mahfūz hai zabān-e-kitāb

    nahīñ 'hāfiz' ke ham-navā kamyāb

    ham-zabāñ 'sa.adī'-o-'afġhānī' ke

    ham-pyāla haiñ 'isfahānī' ke

    qadr-dān-e-kamāl-e-ismā.īl

    abu-tālib-'kalīm' ke bhī masīl

    un meñ sar-āmad suḳhan-e-'ġhālib'

    ba.ad 'ḳhusrav' ze-ahl-e-fan 'ġhālib'

    saqiya daur-e-inqalabi hai

    KHun-e-dil se bhari gulabi hai

    bazm-e-peshiniyan hui barham

    ibrat-angez ab saghar-e-jam

    tus-o-ganja ho ya ki nishapur

    ab nahin hai kahin sara-e-surur

    dehli aur lucknow nahin Tiksal

    akbarabad ka hai abtar haal

    ujDi basti hai ab azimabaad

    dil-e-nashad mein ghuTi fariyaad

    ab arab ki zaban bhi wo nahin

    un ka tarz-e-bayan bhi wo nahin

    ahl-e-iran ki farsi wo kahan

    hath kangan ko aarsi wo kahan

    phir bhi mahfuz hai zaban-e-kitab

    nahin 'hafiz' ke ham-nawa kamyab

    ham-zaban 'sadi'-o-'afghani' ke

    ham-pyala hain 'isfahani' ke

    qadr-dan-e-kamal-e-ismail

    abu-talib-'kalim' ke bhi masil

    un mein sar-amad suKHan-e-'ghaalib'

    baad 'KHusraw' ze-ahl-e-fan 'ghaalib'

    Source :
    • Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 93)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now