Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

samt-e-kashi se chala jaanib-e-mathura baadal

Mohsin Kakorvi

samt-e-kashi se chala jaanib-e-mathura baadal

Mohsin Kakorvi

MORE BYMohsin Kakorvi

    samt-e-kāshī se chalā jānib-e-mathurā bādal

    barq ke kāñdhe pe laatī hai sabā gañgā-jal

    ghar meñ ashnān kareñ sarv-qadān-e-gokul

    ke jamunā pe nahānā bhī hai ik tuul amal

    ḳhabar uḌtī huī aa.ī hai mahā-ban meñ abhī

    ki chale aate haiñ thīrth ko havā par bādal

    tah-o-bālā ka.e dete haiñ havā ke jhoñke

    beḌe bhādoñ ke nikalte haiñ bhare gañgā-jal

    kabhī Duubī kabhī uchhlī mah-e-nau kashtī

    bahr-e-aḳhzar meñ talātum se paḌī hai halchal

    shab-e-daijūr añdhere meñ hai bādal ke nihāñ

    lailā mahmil meñ hai Daale hue muñh par āñchal

    ātish-e-gul dhuāñ bām-e-falak par pahuñchā

    jam gayā manzil-e-ḳhurshīd chhat meñ kājal

    jis taraf se ga.ī bijlī phir idhar aa na sakī

    qila-e-charḳh meñ hai bhūl-bhulayyāñ bādal

    ā.īna āb-e-tamavvuj se bahā jaatā hai

    kahiye tasvīr se girnā na kahīñ dekh sambhal

    aaj ye nashv-o-numā hai sitāra chamkā

    shāḳh meñ kāhkashāñ ke nikal aa.ī kopal

    ḳhizr farmāte haiñ sumbul se tirī umr-e-darāz

    phuul se kahte haiñ phaltā rahe gulzār-e-amal

    dekhte dekhte baḌh jaatī hai gulshan bahār

    dīda-e-nargis-e-shahlā ko na samjho ahval

    lahreñ letā hai jo bijlī ke muqābil sabza

    charḳh par bādalā phailā hai zamīñ par maḳhmal

    ham-zabāñ vasf-e-chaman meñ hue sab ahl-e-chaman

    tūtiyoñ hai jo tazmīn to bulbul ġhazal

    jugnū phirte haiñ jo gulbun meñ to aatī hai nazar

    mus.haf gul ke havāshī pe tilā.ī jadval

    shāḳh par phuul haiñ jumbish meñ zamīñ par sumbul

    sab havā khāte haiñ gulshan meñ savār-o-paidal

    āh-e-qumrī meñ mazā aur maze meñ tāsīr

    sarv meñ dekhiye phuul aane lage phuul meñ phal

    ḳhanda-hā-e-gul qālīñ se huā shor-e-nushūr

    kyā ajab hai jo pareshān hai ḳhvāb-e-maḳhmal

    shāḳh-e-shamshād pe qumrī se kaho chheḌe malār

    nau-nihālān-e-gulistāñ ko sunā.e ye ġhazal

    turfa-e-gardish meñ giraftār ajab pher meñ hai

    surma hai niiñd mirī dīda-e-bedār kharal

    samt-e-kāshī se gayā jānib-e-mathurā bādal

    tairtā hai kabhī gañgā kabhī jamunā bādal

    samt-e-kāshī se gayā jānib-e-mathurā bādal

    birj meñ aaj sir-kishan hai kaalā bādal

    shāhid-e-gul liye saath hai Dolā bādal

    barq kahtī hai mubārak tujhe sahrā bādal

    ḳhuub chhāyā hai sar-e-gokul-o-mathurā bādal

    rañg meñ aaj kanhayyā ke hai Duubā bādal

    sat.h-e-aflāk nazar aatī hai gañgā-jamanī

    ruup bijlī sunahrā hai rūpahlā bādal

    charḳh par bijlī chal phir se nazar aatā hai

    sabza chamkā.e hilātā huā barchhā bādal

    bijlī do-chār qadam chal ke palaT jaaye na kyuuñ

    vo añdherā hai ki phirtā hai bhaTaktā bādal

    jab talak birj meñ jamunā hai ye khulne nahīñ

    hai qasam khaa.e uThā.e hue gañgā bādal

    chashma-e-mahr hai aks-e-zar-e-gul se dariyā

    partav-e-barq se hai sone bajrā bādal

    mirī āñkhoñ meñ samātā nahīñ ye josh-o-ḳharosh

    kisī bedard ko dikhlā ye karishma bādal

    tapish-e-dil uḌāyā huā naqsha bijlī

    chashm-e-pur-āb dhoyā huā ḳhāka bādal

    dil-e-betāb adnā chamak hai bijlī

    chashm-e-pur-āb hai ek karishma bādal

    apnī kam-zarfiyoñ se laakh falak par chaḌh jaaye

    merī āñkhoñ hai utrā huā sadqa bādal

    kuchh hañsī-khel nahīñ joshish-e-girya zabt

    ye mirā dil hai ye merā hai kalejā bādal

    rāja-indr hai parī-ḳhāna-e-may paanī

    naġhma mai sir-kishan kanhayyā bādal

    dekhtā gar kahīñ 'mohsin' fuġhān-o-zārī

    na garajtā kabhī aisā na barastā bādal

    phir chalā ḳhāma-qasīda taraf ba.ad ġhazal

    ki hai chakkar meñ suḳhan-go dimāġh-e-muḳhtal

    mai-e-gul-rañg hai kyā sham.a-e-shab-e-fikr phuul

    chalte chalte jo qalam haath se jaatā hai nikal

    hai suḳhan-go ko na inshā na imlā ḳhabar

    ho ga.ī nazm inshā ḳhabar sab mohmal

    dil meñ kuchh aur hai par muñh se nikaltā hai kuchh aur

    lafz be-ma.anī haiñ aur ma.anī haiñ sab be-aTkal

    kitnā be-qaid huā kitnā ye āvāra phirā

    koī mandir na bachā us se na koī asthal

    kabhī gañgā pe bhaTaktā hai kabhī jamunā par

    ghāghrā par kabhī guzrā kabhī sū-e-chammal

    chhīñTe dene se na mahfūz rahī qulzum-o-nīl

    na bachā ḳhaak uḌāne se koī dasht-o-jabal

    haañ ye sach hai ki tabī.at ne uḌāyā jo ġhubār

    huī ā.īna-e-mazmūñ do-chandāñ saiqal

    ik zarā dekhiye kaifiyat-e-me.arāj-e-suḳhan

    haath meñ jām-e-zuhal shīsha-e-mah zer-e-baġhal

    girte paḌte kahāñ mastāna kahāñ rakhā paañv

    ki tasavvur bhī jahāñ na sake farq ke bal

    ya.anī us nuur ke maidān meñ pahuñchā ki jahāñ

    ḳhirman-e-barq-e-tajallī laqab hai bādal

    tār-bārān-e-musalsal hai malā.ek darūd

    ba-har tasbīh ḳhudā-vand-e-jahāñ izz-o-jal

    kahīñ tuubā kahīñ kausar kahīñ firdaus-e-barīñ

    kahīñ bahtī huī nahr-e-luban va nahr-e-asal

    kahīñ ''jibrīl hukūmat pe kahīñ isrāfīl

    kahīñ rizvāñ kahīñ sāqī-e-kausar amal

    kanz-e-maḳhfī ke kisī samt nihāñ tah-ḳhāne

    ik taraf maz.har-e-qudrat ke ayaañ shīsh-mahal

    āshiq-e-jalva talabgār kahīñ chashm-e-qabūl

    nāz-e-mahbūb ke parde meñ kahīñ husn-e-amal

    gul-e-be-rañgī-e-mutlaq se lahakte gulzār

    be-niyāzī ke riyāhīñ se mahakte jañgal

    bāġh-e-tanzīh meñ sarsabz nihāl-e-tashbīh

    ambiyā jis haiñ shāḳheñ urfā haiñ kopal

    gul-e-ḳhush-rañg rasūl-e-madanī-arbī

    zeb-e-dāmān-e-abad turra-e-dastār-e-azal

    na koī us mushābah hai na ham-sar na nazīr

    na koī us mumāsil na muqābil na badal

    auj-e-rif.at qamar naḳhl-e-do-ālam samar

    bahr-e-vahdat guhar chashma-kasrat kañval

    mohr-e-tauhīd zau auj-e-sharaf mah-e-nau

    sham.a-e-ījād lo bazm-e-risālat kañval

    marja.a-e-rūh-e-amīñ zeb-dah arsh-e-barīñ

    hāmī-e-dīn-e-matīñ nāsiḳh-e-adiyān-o-milal

    haf-iqlīm vilāyat meñ shah-e-ālī-jāh

    chaar atrāf-e-hidāyat meñ nabīl-e-mursal

    meñ aatā hai likhūñ matl.a-e-barjasta agar

    vajd meñ aa ke qalam haath se jaaye na uchhal

    muntaḳhab nusḳha-e-vahdat ye thā roz-e-azal

    ki na ahmad hai saanī na ahad avval

    daur-e-ḳhurshīd bhī hashr meñ ho jā.egī sub.h

    tā-abad daur-e-mohammad hai roz-e-avval

    shab-e-asrā meñ tajallī se rū-e-anvar

    paḌ ga.ī gardan zafraf meñ sunahrī haikal

    sajda-e-shukr meñ hai nāsiya-e-arsh-e-barīñ

    ḳhaak se paa.e muqaddas lagā kar sandal

    afzaliyat pe tirī mushtamil āsār-o-kutub

    avāliyat pe tirī muttafiq adyān-o-milal

    lutf se tere huī shaukat-e-īmāñ mohkam

    qahr se saltanat-e-kufar huī mustāsal

    jis taraf haath baḌheñ kufar ke chhaT jaa.eñ qadam

    jis jagah paañv rakheñ sajda kareñ lāt-o-hubal

    ho sakā hai kahīñ mahbūb-e-ḳhudā ġhair-e-ḳhudā

    ik zarā dekh samajh kar mirī chashm-e-ahval

    raf.a hone na thā vahdat-o-kasrat ḳhilāf

    miim ahmad ne kiyā aa ke ye qissa faisal

    nazar aa.e mujhe ahmad meñ agar daal duī

    roz-e-mahshar huuñ ilāhī merī āñḳheñ ahval

    phir usī tarz mushtāq hai mavvājī tab.a

    ki hai is bahr meñ ik qāfiya achchhā bādal

    kyā jhukā ka.abe jānib ko hai qibla bādal

    sajde kartā hai sū-e-taiba-o-batahā bādal

    chhoḌ kar but-kada-e-hind va sanam-ḳhāna-e-braj

    aaj ka.aba meñ bichhā.e hai musallā bādal

    sabza-e-charḳh ko añdhiyārī lagā kar laayā

    shahsavār-e-arabī ke liye kaalā bādal

    bahr-e-imkā۔n meñ rasūl-e-arabī durr-e-yatīm

    rahmat-e-ḳhās ḳhudāvand-ta.āla bādal

    qibla-e-ahl-e-nazar ka.aba-e-abrū-e-huzūr

    mū-e-sar qible ko ghere hue kaalā bādal

    rashk se sho.ala-e-ruḳhsār ke rotī hai barq

    barq ke muñh pe rakhe hue pallā bādal

    duur pahuñchī lab-e-jāñ-baḳhsh nabī shohrat

    sun zarā kahte haiñ kyā hazrat-e-īsā bādal

    chashm-e-insāf se dekh aap ke dandān-e-sharīf

    dur-e-yaktā hai terā garche yagāna bādal

    thā bañdhā taar farishtoñ dar-e-aqdas par

    shab-e-me.arāj meñ thā arsh-e-muallā bādal

    āmad-o-raft meñ thā ham-qadam-e-barq burrāq

    murġh-zār-e-chaman-e-ālam-e-bālā bādal

    haf-iqlīm meñ is diiñ bajā hai Dañkā

    thā tirī aam risālat garajtā bādal

    āstāne tire dahr meñ vo rutba hai

    ki jo niklā to jhukā.e hue kāñdhā bādal

    to vo faiyyaz hai dar par tire saa.il tarah

    falak-e-pīr ko laayā diye kāñdhā bādal

    teġh maidān-e-shujā.at meñ chamaktī bijlī

    haath gulzār-e-saḳhāvat meñ barastā bādal

    'mohsin' ab dījiye gulzār-e-munājāt sair

    ki ijābat chalā aatā hai gahrā bādal

    sab se aalā tirī sarkār hai sab se afzal

    mere īmān-e-mufassal yahī hai mujmal

    hai tamannā ki rahe na.at se terī ḳhālī

    na mirā sher na qit.a na qasīda na ġhazal

    dīn-o-duniyā meñ kisī na sahārā ho mujhe

    sirf terā bharosa tirī quvvat tarā bil

    ho mirā resha-e-ummīd vo naḳhl-e-sarsabz

    jis har shāḳh meñ ho phuul har ik phuul meñ phal

    aarzū hai ki tirā dhyān rahe tā-dam-e-marg

    shakl terī nazar aa.e mujhe jab aa.e ajal

    ruuh se merī kahīñ pyaar se yoñ izrā.īl

    ki mirī jaan madīne ko jo chaltī hai to chal

    dam-e-murdan ye ishāra ho shafā.at tirī

    fikr-e-fardā to na kar dekh liyā jā.egā kal

    yaad ā.īna-e-ruḳhsār se hairat ho mujhe

    gosha-e-qabr nazar aa.e mujhe shīsh-mahal

    mezbāñ ban ke nakīrain kaheñ ghar hai tirā

    na uThānā koī taklīf na honā bekal

    ruḳh-e-anvar tire dhyān rahe ba.ad-e-fanā

    mere hamrāh chale rāh-e-adam meñ mash.al

    hazf huuñ mere gunāhān-e-saqīl aur ḳhafīf

    aa.eñ mīzāñ meñ jab af.āl-e-sahīh-o-muattil

    merī shāmat se ho ārāsta gesū-e-siyāh

    āriz-e-shāhid-e-mahshar ho agar husn-e-amal

    saf-e-mehshar meñ tire saath ho terā maddāh

    haath meñ ho yahī mastāna qasīda ye ġhazal

    kaheñ jibrīl ishāre se ki haañ! bismillāh

    samt-e-kāshī se chalā jānib-e-mathurā bādal

    samt-e-kashi se chala jaanib-e-mathura baadal

    barq ke kandhe pe lati hai saba ganga-jal

    ghar mein ashnan karen sarw-qadan-e-gokul

    ja ke jamuna pe nahana bhi hai ek tul amal

    KHabar uDti hui aai hai maha-ban mein abhi

    ki chale aate hain thirth ko hawa par baadal

    tah-o-baala kae dete hain hawa ke jhonke

    beDe bhadon ke nikalte hain bhare ganga-jal

    kabhī Dubi kabhī uchhli mah-e-nau ki kashti

    bahr-e-aKHzar mein talatum se paDi hai halchal

    shab-e-daijur andhere mein hai baadal ke nihan

    laila mahmil mein hai Dale hue munh par aanchal

    aatish-e-gul ka dhuan baam-e-falak par pahuncha

    jam gaya manzil-e-KHurshid ki chhat mein kajal

    jis taraf se gai bijli phir idhar aa na saki

    qila-e-charKH mein hai bhul-bhulayyan baadal

    aaina aab-e-tamawwuj se baha jata hai

    kahiye taswir se girna na kahin dekh sambhal

    aaj ye nashw-o-numa ka hai sitara chamka

    shaKH mein kahkashan ke nikal aai kopal

    KHizr farmate hain sumbul se teri umr-e-daraaz

    phul se kahte hain phalta rahe gulzar-e-amal

    dekhte dekhte baDh jati hai gulshan ki bahaar

    dida-e-nargis-e-shahla ko na samjho ahwal

    lahren leta hai jo bijli ke muqabil sabza

    charKH par baadala phaila hai zamin par maKHmal

    ham-zaban wasf-e-chaman mein hue sab ahl-e-chaman

    tutiyon ki hai jo tazmin to bulbul ki ghazal

    jugnu phirte hain jo gulbun mein to aati hai nazar

    mushaf gul ke hawashi pe tilai jadwal

    shaKH par phul hain jumbish mein zamin par sumbul

    sab hawa khate hain gulshan mein sawar-o-paidal

    aah-e-qumri mein maza aur maze mein tasir

    sarw mein dekhiye phul aane lage phul mein phal

    KHanda-ha-e-gul qalin se hua shor-e-nushur

    kya ajab hai jo pareshan hai KHwab-e-maKHmal

    shaKH-e-shamshad pe qumri se kaho chheDe malar

    nau-nihaalan-e-gulistan ko sunae ye ghazal

    turfa-e-gardish mein giraftar ajab pher mein hai

    surma hai nind meri dida-e-bedar kharal

    samt-e-kashi se gaya jaanib-e-mathura baadal

    tairta hai kabhī ganga kabhī jamuna baadal

    samt-e-kashi se gaya jaanib-e-mathura baadal

    birj mein aaj sir-kishan hai kala baadal

    shahid-e-gul ka liye sath hai Dola baadal

    barq kahti hai mubarak tujhe sahra baadal

    KHub chhaya hai sar-e-gokul-o-mathura baadal

    rang mein aaj kanhayya ke hai Duba baadal

    sath-e-aflak nazar aati hai ganga-jamani

    rup bijli ka sunahra hai rupahla baadal

    charKH par bijli ki chal phir se nazar aata hai

    sabza chamkae hilata hua barchha baadal

    bijli do-chaar qadam chal ke palaT jaye na kyun

    wo andhera hai ki phirta hai bhaTakta baadal

    jab talak birj mein jamuna hai ye khulne ka nahin

    hai qasam khae uThae hue ganga baadal

    chashma-e-mahr hai aks-e-zar-e-gul se dariya

    partaw-e-barq se hai sone ka bajra baadal

    meri aankhon mein samata nahin ye josh-o-KHarosh

    kisi bedard ko dikhla ye karishma baadal

    tapish-e-dil ka uDaya hua naqsha bijli

    chashm-e-pur-ab ka dhoya hua KHaka baadal

    dil-e-betab ki adna si chamak hai bijli

    chashm-e-pur-ab ka hai ek karishma baadal

    apnī kam-zarfiyon se lakh falak par chaDh jaye

    meri aankhon ka hai utra hua sadqa baadal

    kuchh hansi-khel nahin joshish-e-girya ka zabt

    ye mera dil hai ye mera hai kaleja baadal

    raja-indr hai pari-KHana-e-may ka pani

    naghma mai ka sir-kishan kanhayya baadal

    dekhta gar kahin 'mohsin' ki fughan-o-zari

    na garajta kabhī aisa na barasta baadal

    phir chala KHama-qasida ki taraf baad ghazal

    ki hai chakkar mein suKHan-go ka dimagh-e-muKHtal

    mai-e-gul-rang hai kya shama-e-shab-e-fikr ka phul

    chalte chalte jo qalam hath se jata hai nikal

    hai suKHan-go ko na insha ki na imla ki KHabar

    ho gai nazm ki insha ki KHabar sab mohmal

    dil mein kuchh aur hai par munh se nikalta hai kuchh aur

    lafz be-mani hain aur mani hain sab be-aTkal

    kitna be-qaid hua kitna ye aawara phira

    koi mandir na bacha us se na koi asthal

    kabhī ganga pe bhaTakta hai kabhī jamuna par

    ghaghra par kabhī guzra kabhī su-e-chammal

    chhinTe dene se na mahfuz rahi qulzum-o-nil

    na bacha KHak uDane se koi dasht-o-jabal

    han ye sach hai ki tabiat ne uDaya jo ghubar

    hui aaina-e-mazmun ki do-chandan saiqal

    ek zara dekhiye kaifiyat-e-mearaj-e-suKHan

    hath mein jam-e-zuhal shisha-e-mah zer-e-baghal

    girte paDte kahan mastana kahan rakha panw

    ki tasawwur bhi jahan ja na sake farq ke bal

    yani us nur ke maidan mein pahuncha ki jahan

    KHirman-e-barq-e-tajalli ka laqab hai baadal

    tar-baran-e-musalsal hai malaek ka darud

    ba-har tasbih KHuda-wand-e-jahan izz-o-jal

    kahin tuba kahin kausar kahin firdaus-e-barin

    kahin bahti hui nahr-e-luban wa nahr-e-asal

    kahin jibril hukumat pe kahin israfil

    kahin rizwan ka kahin saqi-e-kausar ka amal

    kanz-e-maKHfi ke kisi samt nihan tah-KHane

    ek taraf mazhar-e-qudrat ke ayan shish-mahal

    aashiq-e-jalwa talabgar kahin chashm-e-qabul

    naz-e-mahbub ke parde mein kahin husn-e-amal

    gul-e-be-rangi-e-mutlaq se lahakte gulzar

    be-niyazi ke riyahin se mahakte jangal

    bagh-e-tanzih mein sarsabz nihaal-e-tashbih

    ambiya jis ki hain shaKHen urfa hain kopal

    gul-e-KHush-rang rasul-e-madani-arbi

    zeb-e-daman-e-abad turra-e-dastar-e-azal

    na koi us ka mushabah hai na ham-sar na nazir

    na koi us ka mumasil na muqabil na badal

    auj-e-rifat ka qamar naKHl-e-do-alam ka samar

    bahr-e-wahdat ka guhar chashma-kasrat ka kanwal

    mohr-e-tauhid ki zau auj-e-sharaf ka mah-e-nau

    shama-e-ijad ki lo bazm-e-risalat ka kanwal

    marja-e-ruh-e-amin zeb-dah arsh-e-barin

    hami-e-din-e-matin nasiKH-e-adiyan-o-milal

    haf-iqlim wilayat mein shah-e-ali-jah

    chaar atraf-e-hidayat mein nabil-e-mursal

    ji mein aata hai likhun matla-e-barjasta agar

    wajd mein aa ke qalam hath se jaye na uchhal

    muntaKHab nusKHa-e-wahdat ka ye tha roz-e-azal

    ki na ahmad ka hai sani na ahad ka awwal

    daur-e-KHurshid ki bhi hashr mein ho jaegi subh

    ta-abad daur-e-mohammad ka hai roz-e-awwal

    shab-e-asra mein tajalli se ru-e-anwar ki

    paD gai gardan zafraf mein sunahri haikal

    sajda-e-shukr mein hai nasiya-e-arsh-e-barin

    KHak se pae muqaddas ki laga kar sandal

    afzaliyat pe teri mushtamil aasar-o-kutub

    awaliyat pe teri muttafiq adyan-o-milal

    lutf se tere hui shaukat-e-iman mohkam

    qahr se saltanat-e-kufar hui mustasal

    jis taraf hath baDhen kufar ke chhaT jaen qadam

    jis jagah panw rakhen sajda karen lat-o-hubal

    ho saka hai kahin mahbub-e-KHuda ghair-e-KHuda

    ek zara dekh samajh kar meri chashm-e-ahwal

    rafa hone ka na tha wahdat-o-kasrat ka KHilaf

    mim ahmad ne kiya aa ke ye qissa faisal

    nazar aae mujhe ahmad mein agar dal dui

    roz-e-mahshar hun ilahi meri aanKHen ahwal

    phir usi tarz ki mushtaq hai mawwaji taba

    ki hai is bahr mein ek qafiya achchha baadal

    kya jhuka kabe ki jaanib ko hai qibla baadal

    sajde karta hai su-e-taiba-o-bataha baadal

    chhoD kar but-kada-e-hind wa sanam-KHana-e-braj

    aaj kaba mein bichhae hai musalla baadal

    sabza-e-charKH ko andhiyari laga kar laya

    shahsawar-e-arabi ke liye kala baadal

    bahr-e-imka۔n mein rasul-e-arabi durr-e-yatim

    rahmat-e-KHas KHudawand-taala baadal

    qibla-e-ahl-e-nazar kaba-e-abru-e-huzur

    mu-e-sar qible ko ghere hue kala baadal

    rashk se shoala-e-ruKHsar ke roti hai barq

    barq ke munh pe rakhe hue palla baadal

    dur pahunchi lab-e-jaan-baKHsh nabi ki shohrat

    sun zara kahte hain kya hazrat-e-isa baadal

    chashm-e-insaf se dekh aap ke dandan-e-sharif

    dur-e-yakta hai tera garche yagana baadal

    tha bandha tar farishton ka dar-e-aqdas par

    shab-e-mearaj mein tha arsh-e-mualla baadal

    aamad-o-raft mein tha ham-qadam-e-barq burraq

    murgh-zar-e-chaman-e-alam-e-baala baadal

    haf-iqlim mein is din ka baja hai Danka

    tha teri aam risalat ka garajta baadal

    aastane ka tere dahr mein wo rutba hai

    ki jo nikla to jhukae hue kandha baadal

    to wo faiyyaz hai dar par tere sail ki tarah

    falak-e-pir ko laya diye kandha baadal

    tegh maidan-e-shujaat mein chamakti bijli

    hath gulzar-e-saKHawat mein barasta baadal

    'mohsin' ab dijiye gulzar-e-munajat ki sair

    ki ijabat ka chala aata hai gahra baadal

    sab se aala teri sarkar hai sab se afzal

    mere iman-e-mufassal ka yahī hai mujmal

    hai tamannā ki rahe nat se teri KHali

    na mera sher na qita na qasida na ghazal

    din-o-duniya mein kisi ka na sahaara ho mujhe

    sirf tera hi bharosa teri quwwat tara bil

    ho mera resha-e-ummid wo naKHl-e-sarsabz

    jis ki har shaKH mein ho phul har ek phul mein phal

    aarzu hai ki tera dhyan rahe ta-dam-e-marg

    shakl teri nazar aae mujhe jab aae ajal

    ruh se meri kahin pyar se yon izrail

    ki meri jaan madine ko jo chalti hai to chal

    dam-e-murdan ye ishaara ho shafaat ka teri

    fikr-e-farda to na kar dekh liya jaega kal

    yaad aaina-e-ruKHsar se hairat ho mujhe

    gosha-e-qabr nazar aae mujhe shish-mahal

    mezban ban ke nakirain kahen ghar hai tera

    na uThana koi taklif na hona bekal

    ruKH-e-anwar ka tere dhyan rahe baad-e-fana

    mere hamrah chale rah-e-adam mein mashal

    hazf hun mere gunahan-e-saqil aur KHafif

    aaen mizan mein jab afal-e-sahih-o-muattil

    meri shamat se ho aarasta gesu-e-siyah

    aariz-e-shahid-e-mahshar ho agar husn-e-amal

    saf-e-mehshar mein tere sath ho tera maddah

    hath mein ho yahī mastana qasida ye ghazal

    kahen jibril ishaare se ki han! bismillah

    samt-e-kashi se chala jaanib-e-mathura baadal

    Source :
    • Book : Guldasta-e-Muhsin/Madih-e-Khairul Mursalin (Pg. 36)
    • Author : Mohsin Kakorwi
    • Publication : Matba Nami Nawalkishor, Kanpur (1885)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now