sarson phuli aankhon mein
shyām sundar kī jab sudh aa.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
kuchh kā kuchh hai det dikhā.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
har har buñd samand pahchānoñ har zarra ḳhurshed
vaah gurū-jī ḳhuub sujhā.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
bande ko allāh bakhānoñ qaidī ko be-qaid
an-kahnī muñh se kahlā.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
ūñch-nīch meñ farq na jānoñ duī huī pāband
vahdat man par aisī chhā.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
maiñ to 'niyāz' aape ko na jānūñ kujā umrkat aayad
nikal ga.ī parbat ko raa.ī sarsoñ phūlī āñkhoñ meñ
shyam sundar ki jab sudh aai sarson phuli aankhon mein
kuchh ka kuchh hai det dikhai sarson phuli aankhon mein
har har bund samand pahchanon har zarra KHurshed
wah guru-ji KHub sujhai sarson phuli aankhon mein
bande ko allah bakhanon qaidi ko be-qaid
an-kahni munh se kahlai sarson phuli aankhon mein
unch-nich mein farq na jaanon dui hui paband
wahdat man par aisi chhai sarson phuli aankhon mein
main to 'niyaz' aape ko na jaanun kuja umrkat aayad
nikal gai parbat ko rai sarson phuli aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.