yarab dil-e-muslim ko ek zinda tamanna de
yārab dil-e-muslim ko ik zinda tamannā de
jo qalb ko garmā de jo ruuh ko taḌpā de
phir vādī-e-fārāñ ke har zarre ko chamkā de
phir shauq-e-tamāshā de phir zauq-e-taqāzā de
mahrūm-e-tamāshā ko phir dīda-e-bianā de
dekhā hai jo kuchh maiñ ne auroñ ko bhī dikhlā de
bhaTke hue aahū ko phir sū-e-haram le chal
is shahar ke ḳhūgar ko phir vus.at-e-sahrā de
paidā dil-e-vīrāñ meñ phir shorish-e-mahshar kar
is mahmil-e-ḳhālī ko phir shāhid liilā de
is daur kī zulmat meñ har qalb-e-pareshāñ ko
vo dāġh-e-mohabbat de jo chāñd ko sharmā de
rif.at meñ maqāsid ko ham-dosh-e-surayyā kar
ḳhuddārī-e-sāhil de āzādī-e-dariyā de
be-laus mohabbat ho be-bāk sadāqat ho
sīnoñ meñ ujālā kar dil sūrat-e-mīnā de
ehsās-e-ināyat kar āsār-e-musībat kā
imroz kī shorish meñ andesha-e-fardā de
maiñ bulbul-e-nālāñ huuñ ik ujḌe gulistāñ kā
tāsīr kā saa.el huuñ muhtāj ko daatā de
yarab dil-e-muslim ko ek zinda tamanna de
jo qalb ko garma de jo ruh ko taDpa de
phir wadi-e-faran ke har zarre ko chamka de
phir shauq-e-tamasha de phir zauq-e-taqaza de
mahrum-e-tamasha ko phir dida-e-biana de
dekha hai jo kuchh main ne auron ko bhi dikhla de
bhaTke hue aahu ko phir su-e-haram le chal
is shahar ke KHugar ko phir wusat-e-sahra de
paida dil-e-viran mein phir shorish-e-mahshar kar
is mahmil-e-KHali ko phir shahid lila de
is daur ki zulmat mein har qalb-e-pareshan ko
wo dagh-e-mohabbat de jo chand ko sharma de
rifat mein maqasid ko ham-dosh-e-surayya kar
KHuddari-e-sahil de aazadi-e-dariya de
be-laus mohabbat ho be-bak sadaqat ho
sinon mein ujala kar dil surat-e-mina de
ehsas-e-inayat kar aasar-e-musibat ka
imroz ki shorish mein andesha-e-farda de
main bulbul-e-nalan hun ek ujDe gulistan ka
tasir ka sael hun muhtaj ko data de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.