Sufinama

sab so aada more sar saheb ziyaada

Amrat Ray

sab so aada more sar saheb ziyaada

Amrat Ray

MORE BYAmrat Ray

    sab so ādā more sar sāheb ziyāda

    jaase parkirti purush nar-mādā paidā huve kahat tah daadā

    tiino lok kare marjādā

    aage daure dev tetīs karor pyāda

    vidhi harihar bhajan birādā utpatti sthiti bojhyā laadā

    taamo sabko aap alādā

    ye gati jaane vyaas dhurv nārad prahlādā

    chūve par jaḌāv hai haudā chāmar chhatr sunerī charda

    aache aThrā purān karda

    baaTe ḳhairāt rupye hon mohara ḳhurda

    jaane pūran vidya chauda deve mol liye bin saudā

    pūran parsād mukt valīdā

    dharmo hiin hayāñy mukt valīdā baabā aadam umda

    chamke peshānī par chāñdā takt banāyā sindur bardā

    jag mo deve āshirvādā

    aave 'amrit' raaj soñ sufet qalandar saada

    sab so aada more sar saheb ziyaada

    jase parkirti purush nar-mada paida huwe kahat tah dada

    tino lok kare marjada

    aage daure dew tetis karor pyaada

    widhi harihar ka bhajan birada utpatti sthiti bojhya lada

    tamo sabko aap alada

    ye gati jaane wyas dhurw narad prahlada

    chuwe par jaDaw ka hai hauda chamar chhatr suneri charda

    aache aThra puran karda

    baTe KHairaat rupye hon mohara KHurda

    jaane puran widya chauda dewe mol liye bin sauda

    puran parsad mukt walida

    dharmo hin hayany mukt walida baba aadam umda

    chamke peshani par chanda takt banaya sindur barda

    jag mo dewe aashirwada

    aawe 'amrit' raj son sufet qalandar sada

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now