ye sansar baDo dukhdai nipaT kal ki ragDo
ye sansār baḌo dukhdā.ī nipaT kaal kī ragḌo
neh lagāvo har so yaaro naam kabhū nā chhoḌo
jayo tum ham-soñ priit lagā.ī so din din pai baḌhtī hai
kījiyo yaaro aur kachhu nahīñ yahī hamārī bintī hai
kal to hogā kuuch hamārā ḳhayāl faqīrī ramtā hai
tum chāroñ meñ prem priit so bha.ī do din kī gamtā hai
bhalī burī kachhu niksī baanī apnā karke jaanā hai
'devnāth' parbhu phakkaḌ yaaro unko unhīñ maanā hai
ye sansar baDo dukhdai nipaT kal ki ragDo
neh lagawo har so yaro nam kabhu na chhoDo
jayo tum ham-son prit lagai so din din pai baDhti hai
kijiyo yaro aur kachhu nahin yahi hamari binti hai
kal to hoga kuch hamara KHayal faqiri ramta hai
tum chaaron mein prem prit so bhai do din ki gamta hai
bhali buri kachhu niksi bani apna karke jaana hai
'dewnath' parbhu phakkaD yaro unko unhin mana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.