hori ke pad - phagun ke din chaar re hori khel mana re
phāgun ke din chaar re horī khel manā re
bin kartāl pakhāvaj bājai anhad kī jhankār re
bini sur raag chhatīsūñ gaave rome rome rankār re
seel sañtokh kī qaisar gholī prem-prīt pichkār re
aḌat gulāl laal bhayo ambar barsat rañg apaar re
ghaT ke sab paT khol diye haiñ lok-lāj sab Daar re
'mīrāñ' ke parbhū girdhar-nāgar charan kañval balhār re
phagun ke din chaar re hori khel mana re
bin kartal pakhawaj bajai anhad ki jhankar re
bini sur rag chhatisun gawe rome rome rankar re
seel santokh ki qaisar gholi prem-prit pichkar re
aDat gulal lal bhayo ambar barsat rang apar re
ghaT ke sab paT khol diye hain lok-laj sab Dar re
'miran' ke parbhu girdhar-nagar charan kanwal balhaar re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.