jogi ke pad - jogiya re kahiyo re ades
jogiyā re kahiyo re ades
ā.ūñgī maiñ nāhiñ rahūñ re kar jaTādhārī bhes
chiir ko phaaḌ kanthā pahirūñ leūñgī updes
ginte ginte ghis ga.ī re merī uñgliyoñ kī rekh
mudrā maalā bhesh luuñ re khappaḌ leuuñ haath
jogin ho.e jag DhūñDh suuñ re sāñvaliyā ke saath
parān hamārā vahāñ basat hai yahāñ to ḳhālī khoḌ
māt-pitā parivār suuñ re rahī tinkā toḌ
pāñch pachīso bas kiye merā palla na pakḌe koy
'mīrāñ' vyākul birhani koī aan milāyai moy
jogiya re kahiyo re ades
aaungi main nahin rahun re kar jaTadhaari bhes
chir ko phaD kantha pahirun leungi updes
ginte ginte ghis gai re meri ungliyon ki rekh
mudra mala bhesh lun re khappaD leun hath
jogin hoe jag DhunDh sun re sanwaliya ke sath
paran hamara wahan basat hai yahan to KHali khoD
mat-pita pariwar sun re rahi tinka toD
panch pachiso bas kiye mera palla na pakDe koy
'miran' wyakul birhani koi aan milayai moy
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.