Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ek dana phaD zamin ke andar us se ek daraKHt hua

Kavi Dildar

ek dana phaD zamin ke andar us se ek daraKHt hua

Kavi Dildar

MORE BYKavi Dildar

    ek daana phaḌ zamīñ ke andar us se ek daraḳht huā

    phir barg huā aur shāḳh huā phir bār-āvar ho puḳht huā

    phir kaT ke vah shahtīr huā phir chir kar taḳhta taḳht huā

    'dildār' vah vāhid aa kasrat meñ dekho kyā kyā raḳht huā

    ek dana phaD zamin ke andar us se ek daraKHt hua

    phir barg hua aur shaKH hua phir bar-awar ho puKHt hua

    phir kaT ke wah shahtir hua phir chir kar taKHta taKHt hua

    'dildar' wah wahid aa kasrat mein dekho kya kya raKHt hua

    Source :
    • Book : Dildar ke dohe (Pg. 6)
    • Author : Sant kavi dildar
    • Publication : Khuda bakhsh oriental publick library, Patna (1991)
    • Edition : 1
    • Book : Dildar ke dohe (Pg. 6)
    • Author : Sant kavi dildar
    • Publication : Khuda bakhsh oriental publick library, Patna (1991)
    • Edition : 1
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now