satsang-updesh ka ang - karna faqiri teri kya dil-giri sada magan man rahena ji
karnā faqīrī terī kyā dil-gīrī
sadā magan maañ rahenā jī
koī din gaaDī ne koī din bañgla
koī din jañgal basnā jī
koī din hastī koī din ghoDā
koī din pāūñ chalnā jī
koī din khājā ne koī din laaDu
koī din phakkam-phakkā jī
koī din Dholiyā koī din talāī
koī din bhoñya pe loTnā jī
'mīrāñ' kahe parbhū girdhar nāgar
kachhu aay pDe so sahenā
karna faqiri teri kya dil-giri
sada magan man rahena ji
koi din gaDi ne koi din bangla
koi din jangal basna ji
koi din hasti koi din ghoDa
koi din paun chalna ji
koi din khaja ne koi din laDu
koi din phakkam-phakka ji
koi din Dholiya koi din talai
koi din bhonya pe loTna ji
'miran' kahe parbhu girdhar nagar
kachhu aay pDe so sahena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.