wirah ke pad - hari bina na sare ri mai mera paran niksaya jat hari bin na sare ri mai
harī binā nā sare rī maa.ī merā parān niksayā jaat harī bin nā sare rī maa.ī
miin dādur basat jal meñ jal se upjā.ī
tanak jal bāhar kiina turat mar jaa.ī
kaan lakrī ban parī kaaTh ghun khaa.ī
le agan parbhū Daar aa.e bhasam ho jaa.ī
ban-ban DhūñDhat maiñ phirī maa.ī sudhi nahi paa.ī
ek bare darsan diije sab kasar miT jaa.ī
paat jayo piilī paḌī arū bipat tan chhā.ī
daasī 'mīrāñ' laal girdhar milyā sukh chhā.ī
hari bina na sare ri mai mera paran niksaya jat hari bin na sare ri mai
min dadur basat jal mein jal se upjai
tanak jal bahar kina turat mar jai
kan lakri ban pari kaTh ghun khai
le agan parbhu Dar aae bhasam ho jai
ban-ban DhunDhat main phiri mai sudhi nahi pai
ek bare darsan dije sab kasar miT jai
pat jayo pili paDi aru bipat tan chhai
dasi 'miran' lal girdhar milya sukh chhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.