Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

wirah ke pad - ram milan ro ghano umawo nit uTh joun baatDiyan

Mirabai

wirah ke pad - ram milan ro ghano umawo nit uTh joun baatDiyan

Mirabai

MORE BYMirabai

    raam milan ro ghano umāvo nit uTh jouuñ bāTḌiyāñ

    daras binā mohi kachhu na suhāvai jak na paḌat hai āñkhḌiyāñ

    taḌphat taḌphat baho din biite paḌī virah phāñsañDiyāñ

    ab to beg dayā kar pirītam maiñ chhūñ thāri dāsaḌiyāñ

    nain dukhī darsan kuuñ tarsai nābhi na baiThe sāñsaḌiyāñ

    raat divas hiye aarat mero kab hari rākho pāsaḌiyāñ

    lagī lagan chhūTan nāhīñ ab kyuuñ kiijo āñTḌiyāñ

    'mīrāñ' ke parbhū kab miloge puuro man āsaḌiyāñ

    ram milan ro ghano umawo nit uTh joun baTDiyan

    daras bina mohi kachhu na suhawai jak na paDat hai aankhDiyan

    taDphat taDphat baho din bite paDi wirah ki phansanDiyan

    ab to beg daya kar piritam main chhun thaari dasaDiyan

    nain dukhi darsan kun tarsai nabhi na baiThe sansaDiyan

    raat diwas hiye aarat mero kab hari rakho pasaDiyan

    lagi lagan chhuTan ki nahin ab kyun kijo aanTDiyan

    'miran' ke parbhu kab ri miloge puro man ki aasaDiyan

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now