Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kaun tarah se dekhat ho

Makhdoom Khadim Safi

kaun tarah se dekhat ho

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    kaun tarah se dekhat ho

    horī ke dinan maañ phāgun meñ

    jān-būjh ke kaahe ko ho aTke

    sab sakhiyan mil khel karat haiñ

    rañg chhirkat ho āñgan meñ

    aise bātan par kaise ho bhaTke

    'abīr uḌāvat rañg barsāvat

    phaag khelat ho sautan meñ

    jaao lallā morī āñkhoñ se haT ke

    kahat 'ḳhādim' apne safī suuñ

    tum to base ho nain meñ

    apnī baar mohan kaise ho maTke

    kaun tarah se dekhat ho

    hori ke dinan man phagun mein

    jaan-bujh ke kahe ko ho aTke

    sab sakhiyan mil khel karat hain

    rang chhirkat ho aangan mein

    aise baatan par kaise ho bhaTke

    'abir uDawat rang barsawat

    phag khelat ho sautan mein

    jao lalla mori aankhon se haT ke

    kahat 'KHadim' apne safi sun

    tum to base ho nain mein

    apni bar mohan kaise ho maTke

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now