Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kausar ka jam bhar de

Makhdoom Khadim Safi

kausar ka jam bhar de

Makhdoom Khadim Safi

MORE BYMakhdoom Khadim Safi

    kausar jaam bhar de

    shāh-e-najaf ke basayyā

    har dam meñ aas torī dharat huuñ

    tumhīñ more sudh ke livayyā

    apne 'alī par tan man vārūñ

    sobai chūnar oḌhai kanhaiyā

    itnī araj hai apne 'alī se

    tumhīñ ho morī araj ke sunayyā

    har sūrat maañ torī mūrat

    tumhīñ to morī pat ke rakhayyā

    kahat 'ḳhādim' apne safī suuñ

    aan paḌī mañjdhār meñ nayyā

    kausar ka jam bhar de

    shah-e-najaf ke basayya

    har dam mein aas tori dharat hun

    tumhin more sudh ke liwayya

    apne 'ali par tan man warun

    sobai chunar oDhai kanhaiya

    itni araj hai apne 'ali se

    tumhin ho mori araj ke sunayya

    har surat man tori hi murat

    tumhin to mori pat ke rakhayya

    kahat 'KHadim' apne safi sun

    aan paDi manjdhaar mein nayya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now