hamka kahe ko chheDat har aan
hamkā kaahe ko chheḌat har aan
akelī hai yahī jaan
na.ī na.ī riit karat ho ham se
aise anokhe ho kaañh
jo maiñ jitnī piit na kartī
tum bālam ho baḌe nādān
tumkā chheḌat laaj na aa.ī
kaise bha.e ho anjān
ye to lachchhan kahat huuñ tumhāre
kaahe par hai itnā gumān
kahat 'ḳhādim' apne safī suuñ
tum baḌe ho chatur sujān
hamka kahe ko chheDat har aan
akeli hai yahi jaan
nai nai rit karat ho hum se
aise anokhe ho kanh
jo main jitni pit na karti
tum baalam ho baDe nadan
tumka chheDat laj na aai
kaise bhae ho anjaan
ye to lachchhan kahat hun tumhaare
kahe par hai itna guman
kahat 'KHadim' apne safi sun
tum baDe ho chatur sujaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.