rag malar- sakhi ri aaj janme lila dhaari
sakhī rī aaj janme liilā dhārī
timir bhajaigī bhakti khijegī pārāyan nar-nārī
darshan karte ānañd upjai naam liye aghnāshai
charachā meñ sandeh na rah sī khul haiñ parbal gāsai
bahutak jiiv Thikānoñ pai haiñ āvāgaman na hoī
yamke danD dahan pāvak kī tinko mūlan koī
ho haiñ yogī premī gyānī barham ruup hai jaa.ī
charanadās parmārth karan gāvai 'sahjo' baa.ī
sakhi ri aaj janme lila dhaari
timir bhajaigi bhakti khijegi parayan nar-nari
darshan karte aanand upjai nam liye aghnashai
characha mein sandeh na rah si khul hain parbal gasai
bahutak jiw Thikanon pai hain aawagaman na hoi
yamke danD dahan pawak ki tinko mulan koi
ho hain yogi premi gyani barham rup hai jai
charanadas parmarth karan gawai 'sahjo' bai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.