az tir-e-nigah-e-tu zaKHmi shudam pyare sanwaliya ajmeri
Interesting Fact
در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
az tīr-e-nigāh-e-tū zaḳhmī shudam pyāre sāñvaliyā ajmerī
bāñke chhalbaliyā rashk-e-qamar ḳhajlat dah-e-hūr-o-parī paikar
ho merī taraf bhī ek nazar nahīñ chain hai tujh bin ek ghaḌī
az tīr-e-nigāh-e-tū zaḳhmī shudam pyāre sāñvaliyā ajmerī
bin dekhe tire nahīñ chain piyā dar-e-hijr to na kiso jaat jiyā
tauba maiñ ai ḳhvāja haal mirā ek aan meñ jaatī hai jaan mirī
az tīr-e-nigāh-e-tū zaḳhmī shudam pyāre sāñvaliyā ajmerī
mardum az ġhamza-o-ishva to koī ḳhvāja piyā se jaa.e kaho
taḌpat hai jiyā tire dekhan ko sun lījiye 'arz ab 'hāfiz' kī
az tīr-e-nigāh-e-tū zaḳhmī shudam pyāre sāñvaliyā ajmerī
az tir-e-nigah-e-tu zaKHmi shudam pyare sanwaliya ajmeri
banke chhalbaliya rashk-e-qamar KHajlat dah-e-hur-o-pari paikar
ho meri taraf bhi ek nazar nahin chain hai tujh bin ek ghaDi
az tir-e-nigah-e-tu zaKHmi shudam pyare sanwaliya ajmeri
bin dekhe tere nahin chain piya dar-e-hijr to na kiso jat jiya
tauba main ai KHwaja haal mera ek aan mein jati hai jaan meri
az tir-e-nigah-e-tu zaKHmi shudam pyare sanwaliya ajmeri
mardum az ghamza-o-ishwa to koi KHwaja piya se jae kaho
taDpat hai jiya tere dekhan ko sun lijiye 'arz ab 'hafiz' ki
az tir-e-nigah-e-tu zaKHmi shudam pyare sanwaliya ajmeri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.