piran-e-pir mohe aisa rangna
Interesting Fact
مناقب در شان غوثِ اعظم شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد-عراق)
rañg vaale der kyā hai rañg de
aur rañgīle rañg-rasiyā rañg de
tū hī to jis rañg meñ aa.e nazar
ġhaus-e-ā'zam mujh ko aisā rañg de
pīrān-e-pīr mohe aisā rañgnā
yā dastgīr mohe aisā rañgnā
aisā rañgnā jo jaa.e rañg nā
sūrat sīrat bane tumhārī
aisā naqsha jamnā jamnā
aisā naqsha yā ġhaus-e-ā'zam
yā dastgīr mohe aisā rañgnā
'hasrat' kahlātī hai tumrī
tumrī aur ye ronā ronā
pīrān-e-pīr mohe aisā rañgnā
ḳhud ko dekhūñ tū to nazar aa.e
pīrān-e-pīr mohe aisā rañgnā
us phuul kā rañg uḌ kar bū rah jaa.e
sar jaa.e to jaa.e aabrū rah jaa.e
zāhir ho merī nafī se terā isbāt
maiñ aisā miTūñ ki sirf tū rah jaa.e
rang wale der kya hai rang de
aur rangile rang-rasiya rang de
tu hi to jis rang mein aae nazar
ghaus-e-a'zam mujh ko aisa rang de
piran-e-pir mohe aisa rangna
ya dastgir mohe aisa rangna
aisa rangna jo jae rang na
surat sirat bane tumhaari
aisa naqsha jamna jamna
aisa naqsha ya ghaus-e-a'zam
ya dastgir mohe aisa rangna
'hasrat' kahlati hai tumri
tumri aur ye rona rona
piran-e-pir mohe aisa rangna
KHud ko dekhun tu to nazar aae
piran-e-pir mohe aisa rangna
us phul ka rang uD kar bu rah jae
sar jae to jae aabru rah jae
zahir ho meri nafi se tera isbaat
main aisa miTun ki sirf tu rah jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.