salaam saahib-e-laulaak sad-hazaar salaam

salaam qibla-e-qaunain be-shumaar salaam
zuhuur aap kaa vaj.h-e-zuhuur-e-’aalam hai
salaam sirr-e-do-’aalam ke raazdaar salaam
kamaal-e-ahsan-e-taqviim aap kii KHilqat
salaam saane’-e-’aalam ke shaah-kaar salaam
hariim-e-naaz ke mehmaan-o-shaahid-e-yazdaa.n
salaam aap pe mahbuub-e-kirdgaar salaam
imaam-e-jumla-e-umam sadr-e-ambiyaa-o-rusul
salaam mulk-e-risaalat ke taajdaar salaam
karam-navaaz-e-do-’aalam saraapaa rahmat-e-haq
salaam aap pe ai faKHr-e-rozgaar salaam
sarvar-e-baada-e-rahmat nashaat-e-tishna-labii
salaam saaqii-e-kausar ko baar-baar salaam
gunaah laakh sahii par nahii.n hai.n dosh pe baar
salaam shaafe'-e-mahshar ko hazaar baar salaam
salaam servar-e-kaunain ke vasiile se
salaam jumla-rafiiqaan-e-shahryaar salaam
siddiiq-e-mahfil-o-maidaa.n rafiiq-e-Gaar-o-mazaar
salaam hazrat-e-siddiiq-e-baavaqaar salaam
jaliil-o-Gaazii-o-kHattaab-o-saa.ib-o-’aadil
salaam hazrat-e-faaruuq-e-rozgaar salaam
Ganii javvaad-o-haliim-o-Gayuur-o-zunnuurain
salaam hazrat-e-’usmaan hayaa-shi'aar salaam
KHudaa ke sher nabii ke valii shujaa'-o-diler
salaam haidar-e-jaa.n-baaz-o-jaa.n-nisaar salaam
jamaa’t-e-sulhaa se hai aabruu dii.n kii
jamaa’t-e-sulhaa par hazaar baar salaam
huzuur shaafe'-e-mahshar qubuul kiijiyegaa
salaam bhejtaa hai ‘aaftaab’-e-zaar salaam

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.