Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nasl-e-aadam ke iftiKHaar salaam

Abdul Hadi Kavish

nasl-e-aadam ke iftiKHaar salaam

Abdul Hadi Kavish

MORE BYAbdul Hadi Kavish

    nasl-e-aadam ke iftiKHaar salaam

    ai madiina ke taajdaar salaam

    naazish-e-husn-e-kirdgaar salaam

    ai hasiino.n ke shahryaar salaam

    baa’is-e-ziinat-e-bahaar salaam

    ai gul-a.ndaam-o-gul-'izaar salaam

    dii Gulaamii se tuune sab ko najaat

    hurriyat ke payaam-daar salaam

    ai yatiimo.n kii be-kaso.n kii hayaat

    ai Gariibo.n ke Gam-gusaar salaam

    vaj.h-e-irshaad-e-‘aalii-e-laulaak

    fakHr-e-taKHliiq-e-kirdgaar salaam

    saare 'aalam se behtar aap kaa KHulq

    aap yaktaa-e-rozgaar salaam

    aap duniyaa ke har hasii.n se hasii.n

    aap qudrat kaa shaah-kaar salaam

    ai mere markaz-e-ummiid-e-najaat

    mere aqaa-e-naam-daar salaam

    aap kii zaat par hazaar duruud

    aap kii zaat par hazaar salaam

    kaash 'kaavish' bhii pa.Dh sake kisii roz

    KHud pahu.nch kar sar-e-mazaar salaam

    nasl-e-aadam ke iftiKHaar salaam

    ai madiina ke taajdaar salaam

    naazish-e-husn-e-kirdgaar salaam

    ai hasiino.n ke shahryaar salaam

    baa’is-e-ziinat-e-bahaar salaam

    ai gul-a.ndaam-o-gul-'izaar salaam

    dii Gulaamii se tuune sab ko najaat

    hurriyat ke payaam-daar salaam

    ai yatiimo.n kii be-kaso.n kii hayaat

    ai Gariibo.n ke Gam-gusaar salaam

    vaj.h-e-irshaad-e-‘aalii-e-laulaak

    fakHr-e-taKHliiq-e-kirdgaar salaam

    saare 'aalam se behtar aap kaa KHulq

    aap yaktaa-e-rozgaar salaam

    aap duniyaa ke har hasii.n se hasii.n

    aap qudrat kaa shaah-kaar salaam

    ai mere markaz-e-ummiid-e-najaat

    mere aqaa-e-naam-daar salaam

    aap kii zaat par hazaar duruud

    aap kii zaat par hazaar salaam

    kaash 'kaavish' bhii pa.Dh sake kisii roz

    KHud pahu.nch kar sar-e-mazaar salaam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now