Font by Mehr Nastaliq Web

assalaam ai rahbar-e-duniyaa-o-dii.n

Adeeb Lakhnavi

assalaam ai rahbar-e-duniyaa-o-dii.n

Adeeb Lakhnavi

MORE BYAdeeb Lakhnavi

    assalaam ai rahbar-e-duniyaa-o-dii.n

    assalaam ai rahamtul-lil-'aalamii.n

    assalaam ai faKHr-e-aadam assalaam

    assalaam ai naazish-e-ruuh-ul-amii.n

    teraa naqsh-e-paa charaaG-e-haq-numaa

    har suKHan tafsiir-e-qur.aan-e-mubii.n

    har qadam teraa daliil-e-raah-e-dost

    tazkira teraa hadiis-e-dil-nashii.n

    hai vo dil aa.iina-e-sidq-o-safaa

    jis me.n ho teraa tasavvur jaaguzii.n

    kufr kii zulmat miTaane ke liye

    nuur teraa ban gayaa mehr-e-mubii.n

    shaad hai.n duniyaa me.n tere zikr se

    hai najaat-e-aaKHirat kaa bhii yaqii.n

    assalaam ai rahbar-e-duniyaa-o-dii.n

    assalaam ai rahamtul-lil-'aalamii.n

    assalaam ai faKHr-e-aadam assalaam

    assalaam ai naazish-e-ruuh-ul-amii.n

    teraa naqsh-e-paa charaaG-e-haq-numaa

    har suKHan tafsiir-e-qur.aan-e-mubii.n

    har qadam teraa daliil-e-raah-e-dost

    tazkira teraa hadiis-e-dil-nashii.n

    hai vo dil aa.iina-e-sidq-o-safaa

    jis me.n ho teraa tasavvur jaaguzii.n

    kufr kii zulmat miTaane ke liye

    nuur teraa ban gayaa mehr-e-mubii.n

    shaad hai.n duniyaa me.n tere zikr se

    hai najaat-e-aaKHirat kaa bhii yaqii.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now