ka'aba ke badruddujaa tum par karo.Do.n salaam

taiba ke shamsuzzuhaa tum par karo.Do.n duruud
shaafe’-e-roz-e-jazaa tum pe karo.Do.n duruud
daafe’-e-jumla-balaa tum pe karo.Do.n duruud
aur ko.ii Gaib kyaa tum se nihaa.n ho bhalaa
jab na KHudaa hii chhupaa tum pe karo.Do.n duruud
tum se jahaa.n kaa nizaam tum pe karo.Do.n salaam
tum pe karo.Do.n sanaa tum pe karo.Do.n daruud
tum ho javvaad-o-kariim tum ho ra.uufur-rahiim
bhiik ho daataa 'ataa tum pe karo.Do.n duruud
tum se khulaa baab-e-juud tum se hai sab kaa vujuud
tum se hai sab kii baqaa tum pe karo.Do.n duruud
KHalq ke haakim ho tum rizq ke qaasim ho tum
tum se milaa jo milaa tum pe karo.Do.n duruud
aas hai ko.ii na paas ek tumhaarii hai aas
bas hai yahii aasraa tum pe karo.Do.n daruud
ham ne KHataa me.n na kii tum ne 'ataa me.n na kii
ko.ii kamii sardaar tum pe karo.Do.n duruud
apne KHataa-kaar ko apne hii daaman me.n lo
kaun kare ye bhalaa tum pe karo.Do.n duruud
kaam vo le liijiye tum ko jo raazii kare
Thiik ho naam-e-'razaa' tum pe karo.Do.n duruud

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.