Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ai mere vaaris mere aaqaa salaam

Gadbad Shah Warsi

ai mere vaaris mere aaqaa salaam

Gadbad Shah Warsi

MORE BYGadbad Shah Warsi

    ai mere vaaris mere aaqaa salaam

    ai mere maalik mere maulaa salaam

    assalaam ai mehr-e-irfaa.n assalaam

    assalaam ai sayyad-e-aalam-maqaam

    assalaam ai haq ke pyaare assalaam

    aur mohammad ke dulaare assalaam

    assalaam ai faatima ke laaDle

    assalaam ai raahat-e-KHasta-dile

    aap par sau jaan se qurbaa.n assalaam

    assalaam ai shaah-e-shaahaa.n assalaam

    haal-e-dil sun liijiye bahar-e-KHudaa

    kiijiye maqbuul merii iltijaa

    aap kaa lutf-o-karam darkaar hai

    ik ishaare me.n to be.Daa paar hai

    aap kaa hai vaarsii adnaa Gulaam

    kiijiye qabuul 'aajiz' kaa salaam

    ai mere vaaris mere aaqaa salaam

    ai mere maalik mere maulaa salaam

    assalaam ai mehr-e-irfaa.n assalaam

    assalaam ai sayyad-e-aalam-maqaam

    assalaam ai haq ke pyaare assalaam

    aur mohammad ke dulaare assalaam

    assalaam ai faatima ke laaDle

    assalaam ai raahat-e-KHasta-dile

    aap par sau jaan se qurbaa.n assalaam

    assalaam ai shaah-e-shaahaa.n assalaam

    haal-e-dil sun liijiye bahar-e-KHudaa

    kiijiye maqbuul merii iltijaa

    aap kaa lutf-o-karam darkaar hai

    ik ishaare me.n to be.Daa paar hai

    aap kaa hai vaarsii adnaa Gulaam

    kiijiye qabuul 'aajiz' kaa salaam

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 229)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now