ziinat-e-ashk-e-aabdaar salaam
ziinat-e-ashk-e-aabdaar salaam
qalb-e-be-chain kaa qaraar salaam
shaah-e-bathaa pe sad-hazaar salaam
nuur-e-yazdaa.n pe be-shumaar salaam
dono.n 'aalam ke taajdaar salaam
hasht jannat ke shahryaar salaam
saarii KHilqat ke arfa'a-o-a'alaa
dast-e-qudrat ke shaahkaar salaam
hai jabiin-e-niyaaz sar-ba-sujuud
ruuh kartii hai baar-baar salaam
dar-e-aqdas pe le ke haazir hai
baaG-e-firdaus kii bahaar salaam
pesh kartaa hai ‘aslam’-e-’aasii
ba-hazaar ’ijz-o-inkisaar salaam
ziinat-e-ashk-e-aabdaar salaam
qalb-e-be-chain kaa qaraar salaam
shaah-e-bathaa pe sad-hazaar salaam
nuur-e-yazdaa.n pe be-shumaar salaam
dono.n 'aalam ke taajdaar salaam
hasht jannat ke shahryaar salaam
saarii KHilqat ke arfa'a-o-a'alaa
dast-e-qudrat ke shaahkaar salaam
hai jabiin-e-niyaaz sar-ba-sujuud
ruuh kartii hai baar-baar salaam
dar-e-aqdas pe le ke haazir hai
baaG-e-firdaus kii bahaar salaam
pesh kartaa hai ‘aslam’-e-’aasii
ba-hazaar ’ijz-o-inkisaar salaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.