assalaam ai vaaris-e-aalam-navaaz
assalaam ai bekaso.n ke chaarasaaz
assalaam ai taajdaar-e-auliyaa
assalaam ai rahnumaa-e-asfiyaa
assalaam ai nuur-e-paak-e-zul-jalaal
assalaam ai be-misaal-o-laazavaal
assalaam ai bulbul-e-baaG-e-rasuul
assalaam ai qurratul-ain-e-batuul
is taraf bhii ik nazar sarkaar ho
tum karam kar do to be.Daa paar ho
haal par ho ab muriido.n ke karam
taaki rah jaa.e.n hamaare sab bharam
az tufail-e-hazrat-e-KHairul-anaam
kiijiye qubuul 'haidar' kaa salaam
assalaam ai vaaris-e-aalam-navaaz
assalaam ai bekaso.n ke chaarasaaz
assalaam ai taajdaar-e-auliyaa
assalaam ai rahnumaa-e-asfiyaa
assalaam ai nuur-e-paak-e-zul-jalaal
assalaam ai be-misaal-o-laazavaal
assalaam ai bulbul-e-baaG-e-rasuul
assalaam ai qurratul-ain-e-batuul
is taraf bhii ik nazar sarkaar ho
tum karam kar do to be.Daa paar ho
haal par ho ab muriido.n ke karam
taaki rah jaa.e.n hamaare sab bharam
az tufail-e-hazrat-e-KHairul-anaam
kiijiye qubuul 'haidar' kaa salaam
Source :
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 233)
-
Publication : Fine Books Printers
(1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.