Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hazrat imaam jaafar saadiq

Muzaffar Warsi

hazrat imaam jaafar saadiq

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    jaafar-e-saadiq imaam-e-sidq-parvar par salaam

    jaa.n-nashiin-o-aabid-o-shabbir-o-haidar par salaam

    taalib-e-KHush-nuudii-e-haq saahib-e-ilm-e-kasiir

    vaaris-e-fazl-o-kamaalaat-e-payambar par salaam

    ilm-e-islaamii kaa ik markaz thii us kii jho.npa.Dii

    arsa-e-KHaak-o-KHazaf ke kiimiyaa-gar par salaam

    jis ke aage aql zaanuu-e-talammuz tah kare

    us husainii haashmii ulvii qalandar par salaam

    chaudah maasuumo.n kaa jo majmuu.a-e-kirdaar thaa

    us akele ke havaale se bahattar par salaam

    mai.n muriid-e-buu-haniifa buu-haniifa kaa vo piir

    peshvaa ke peshvaa rahbar ke rahbar par salaam

    tishnagii jis kaa KHazaana sabr jis kii jaa.idaad

    ruuh par us kii 'muzaffar' us ke paikar par salaam

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now