aap matluub-va-mahbuub-e-rabbul-anaam
aap matluub-va-mahbuub-e-rabbul-anaam
behtariin-e-KHalaa.iq kariimul-kiraam
ruuh-e-jinn-o-malak jaan-e-har-kHaas-o-’aam
suurat-e-haq hamaare liye laa-kalaam
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
tuu hii taKHliiq-e-insaan kaa hai sabab
rabt-e-matluub-o-taalib nazar me.n hai sab
baa-lihaaz-e-adab band hai.n mere lab
kis tarah rab kahuu.n tujh ko maqsuud-e-rab
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
ai kariim is taraf bhii nigaah-e-karam
TuuTnaa chaahtii hai hadd-e-zabt-e-nazar
thaam le Dagmagaane lage hai.n qadam
al-madad al-madad ai hakiimul-hakam
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
ai shahanshaah-e-dii.n ashraful-ashrafii.n
kHaatimul-mursalii.n maz.har-e-avvalii.n
bahr-e-aal-e-’abaa shaafe'-ul-muznabii.n
yak nigaah-e-karam bar 'nasiir'-e-hazii.n
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
aap matluub-va-mahbuub-e-rabbul-anaam
behtariin-e-KHalaa.iq kariimul-kiraam
ruuh-e-jinn-o-malak jaan-e-har-kHaas-o-’aam
suurat-e-haq hamaare liye laa-kalaam
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
tuu hii taKHliiq-e-insaan kaa hai sabab
rabt-e-matluub-o-taalib nazar me.n hai sab
baa-lihaaz-e-adab band hai.n mere lab
kis tarah rab kahuu.n tujh ko maqsuud-e-rab
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
ai kariim is taraf bhii nigaah-e-karam
TuuTnaa chaahtii hai hadd-e-zabt-e-nazar
thaam le Dagmagaane lage hai.n qadam
al-madad al-madad ai hakiimul-hakam
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
ai shahanshaah-e-dii.n ashraful-ashrafii.n
kHaatimul-mursalii.n maz.har-e-avvalii.n
bahr-e-aal-e-’abaa shaafe'-ul-muznabii.n
yak nigaah-e-karam bar 'nasiir'-e-hazii.n
shaah-e-kHairul-anaam assalaam assalaam
muntahaa-al-maqaam assalaam assalaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.