Font by Mehr Nastaliq Web

aap kyaa jaane.n ki kyaa hai karbalaa

Saeed Shaheedi

aap kyaa jaane.n ki kyaa hai karbalaa

Saeed Shaheedi

MORE BYSaeed Shaheedi

    Interesting Fact

    سلام در شان حضرات شہیدانِ کربلا۔

    aap kyaa jaane.n ki kyaa hai karbalaa

    zehn-e-insaa.n se maavaraa hai karbalaa

    intihaa-e-zulam-o-istibdaad-e-shaam

    aur us kii ibtidaa hai karbalaa

    mo'tarif hai jis kii saarii kaa.inaat

    haq kaa aisaa maa'rka hai karbalaa

    puuchhtaa kyaa hai Thikaano.n ko mire

    yaa najaf hai dost yaa hai karbalaa

    ho rahaa hai jaa-bajaa zikr-e-husain

    markaz-e-aah-o-bukaa hai karbalaa

    kyaa haqiiqat aap ke sajdo.n kii hai

    sajda-gaah-e-ambiyaa hai karbalaa

    hazrat-e-aadam se KHaatim tak ‘sa'iid’

    silsila dar silsila hai karbalaa

    aap kyaa jaane.n ki kyaa hai karbalaa

    zehn-e-insaa.n se maavaraa hai karbalaa

    intihaa-e-zulam-o-istibdaad-e-shaam

    aur us kii ibtidaa hai karbalaa

    mo'tarif hai jis kii saarii kaa.inaat

    haq kaa aisaa maa'rka hai karbalaa

    puuchhtaa kyaa hai Thikaano.n ko mire

    yaa najaf hai dost yaa hai karbalaa

    ho rahaa hai jaa-bajaa zikr-e-husain

    markaz-e-aah-o-bukaa hai karbalaa

    kyaa haqiiqat aap ke sajdo.n kii hai

    sajda-gaah-e-ambiyaa hai karbalaa

    hazrat-e-aadam se KHaatim tak ‘sa'iid’

    silsila dar silsila hai karbalaa

    Source :
    • Book : Kulliyat-e-Saeed Shaheedi (Pg. 676)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now