assalaam ai mustafaa-o-mujtabaa
assalaam ai mustafaa-o-mujtabaa
aamna ke laa'l mahbuub-e-KHudaa
assalaam ai sayyad-e-vaalaa tabaar
assalaam ai diin-e-qayyim kii bahaar
assalaam ai markaz-e-rushd-o-hudaa
assalaam ai masdar-e-fahm-o-zakaa
assalaam ai mamba’-e-nuur-o-ziyaa
assalaam ai paikar-e-mehr-o-vafaa
assalaam ai ham-rikaab-e-jibra.iil
fakHr-e-’iisaa aur munaajaat-e-kHaliil
assalaam ai haqq-e-ta'aalaa ke habiib
assalaam ai saare 'aalam ke tabiib
assalaam ai martaba-daan-e-KHudaa
faazil-e-daanish-gah-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai taajdaar-e-ambiyaa
saarii duniyaa ke imaam-o-peshvaa
assalaam ai shaah-e-'aalii-martaba
mohsin-e-insaaniyat bahr-e-saKHaa
assalaam ai miir-e-daanaa-e-subul
ai nabii-e-mohtaram KHatmur-rusul
assalaam ai bazm-e-aaraa-e-hayaat
assalaam ai mash’al-e-kul-kaa.inaat
assalaam ai ’aabid-e-Gaar-e-hiraa
roz-o-shab mahv-e-munaajaat-e-kHudaa
assalaam ai ziinat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai qiimat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai 'azmat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai shaukat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai KHaatim-e-paiGam-baraa.n
sarvar-e-dii.n taajdaar-e-mursalaa.n
assalaam ai nuur-baKHsh-e-Gaar-e-sor
aap se qaa.im hu.aa me'yaar-e-sor
assalaam ai muzhda-e-arz-e-jinaa.n
faKHr-e-dii.n shaan-e-’arab naaz-e-jahaa.n
assalaam ai saahib-e-me'raaj-e-haq
aap ko baKHshaa KHudaa jo taaj-e-haq
assalaam ai raakib-e-dosh-e-nabii
hazrat-e-shabbar hasan ibn-e-’alii
assalaam ai faatima ke nuur-e-’ain
ai shahiid-e-karbalaa hazrat husain
assalaam ai jumla aslaaf-e-kiraam
jin se jaarii hai sharii'at kaa nizaam
ai KHudaa-e-paak rahmaan-o-rahiim
mujh pe bhii chashm-e-karam lutf-e-’amiim
pesh kardam hadiya dar shaan-e-nabii
jumla as.haab-o-rafiiqaan-e-nabii
man namii-daanam che gauhar che KHazaf
gar qubuul uftad zahe 'izz-o-sharaf
assalaam ai mustafaa-o-mujtabaa
aamna ke laa'l mahbuub-e-KHudaa
assalaam ai sayyad-e-vaalaa tabaar
assalaam ai diin-e-qayyim kii bahaar
assalaam ai markaz-e-rushd-o-hudaa
assalaam ai masdar-e-fahm-o-zakaa
assalaam ai mamba’-e-nuur-o-ziyaa
assalaam ai paikar-e-mehr-o-vafaa
assalaam ai ham-rikaab-e-jibra.iil
fakHr-e-’iisaa aur munaajaat-e-kHaliil
assalaam ai haqq-e-ta'aalaa ke habiib
assalaam ai saare 'aalam ke tabiib
assalaam ai martaba-daan-e-KHudaa
faazil-e-daanish-gah-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai taajdaar-e-ambiyaa
saarii duniyaa ke imaam-o-peshvaa
assalaam ai shaah-e-'aalii-martaba
mohsin-e-insaaniyat bahr-e-saKHaa
assalaam ai miir-e-daanaa-e-subul
ai nabii-e-mohtaram KHatmur-rusul
assalaam ai bazm-e-aaraa-e-hayaat
assalaam ai mash’al-e-kul-kaa.inaat
assalaam ai ’aabid-e-Gaar-e-hiraa
roz-o-shab mahv-e-munaajaat-e-kHudaa
assalaam ai ziinat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai qiimat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai 'azmat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai shaukat-e-Gaar-e-hiraa
assalaam ai KHaatim-e-paiGam-baraa.n
sarvar-e-dii.n taajdaar-e-mursalaa.n
assalaam ai nuur-baKHsh-e-Gaar-e-sor
aap se qaa.im hu.aa me'yaar-e-sor
assalaam ai muzhda-e-arz-e-jinaa.n
faKHr-e-dii.n shaan-e-’arab naaz-e-jahaa.n
assalaam ai saahib-e-me'raaj-e-haq
aap ko baKHshaa KHudaa jo taaj-e-haq
assalaam ai raakib-e-dosh-e-nabii
hazrat-e-shabbar hasan ibn-e-’alii
assalaam ai faatima ke nuur-e-’ain
ai shahiid-e-karbalaa hazrat husain
assalaam ai jumla aslaaf-e-kiraam
jin se jaarii hai sharii'at kaa nizaam
ai KHudaa-e-paak rahmaan-o-rahiim
mujh pe bhii chashm-e-karam lutf-e-’amiim
pesh kardam hadiya dar shaan-e-nabii
jumla as.haab-o-rafiiqaan-e-nabii
man namii-daanam che gauhar che KHazaf
gar qubuul uftad zahe 'izz-o-sharaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.