Font by Mehr Nastaliq Web

kamlii vaale kaa naam le-le kar be-sahaare salaam karte hai.n

Unknown

MORE BYUnknown

    kamlii vaale kaa naam le-le kar be-sahaare salaam karte hai.n

    haajiyo mustafaa se kah denaa Gam ke maare salaam karte hai.n

    allaah allaah huzuur kii baate.n marhabaa ra.ng-o-nuur kii baate.n

    chaa.nd un kii balaa.e.n letaa hai aur nazaare salaam karte hai.n

    jab mohammad kaa naam aataa hai rahmato.n kaa payaam aataa hai

    lab hamaare duruud pa.Dhte hai.n dil hamaare salaam karte hai.n

    zikr thaa aaKHirii mahiina kaa chhi.D gayaa tazkira madiina kaa

    ummatii jhuum jhuum ke tum ko rab ke pyaare salaam karte hai.n

    jalva-gaah-e-shah-e-anaam hai ye un ke rauza kaa ehtiraam hai ye

    sabz-gumbad ko aaj bhii 'anvar' chaa.nd taare salaam karte hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now