kamlii vaale nabii tere dar par be-sahaare salaam karte hai.n

tere pyaare salaam karte hai.n Gam ke maare salaam karte hai.n
ashk-e-Gam aa.nkh me.n machalte hai.n daaG rah-rah ke dil ke jalte hai.n
yaa-nabii terii ik nazar ke liye zaKHm saare salaam karte hai.n
nuur kii raat nuur kaa jalva rab hu.aa jab nabii se be-parda
shaah-e-me’araaj us safar kii qasam chaa.nd taare salaam karte hai.n
vo kaTaa halaq ibn-e-haidar kaa vo luTaa qaafila mohammad kaa
karbalaa kii zamiin par ab tak vo nazaare salaam karte hai.n
ye samundar ye aandhiyo.n kii havaa bijliyo.n kii garaj ye kaalii ghaTaa
merii kashtii ke naa-KHudaa tujh ko tez dhaare salaam karte hai.n
‘ruuh’ kaa aaj aaKHirii hai safar saa.ns ruktii hai yaa-nabii kah kar
intizaar-e-nabii me.n ashko.n ke do sitaare salaam karte hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.