Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

assalaam ai raahat-e-qalb-e-mohammad mustafaa

Wasif Raza Wasif

MORE BYWasif Raza Wasif

    assalaam ai raahat-e-qalb-e-mohammad mustafaa

    assalaam ai partav maulaa alii mushkil-kushaa

    assalaam ai kashtii-e-diin-e-diin-e-nabii ke naa-KHudaa

    assalaam ai saahab-e-fazl-o-kamaalaat-o-ataa

    assalaam ai gulistaan-e-hilm ke taaza gulaab

    assalaam ai rahamtul-lil-'aalamiin ke intiKHaab

    assalaam ai paak-baaz-o-muttaqii-o-abkarii

    assalaam ai kaa.inaat-e-razm ke mard-e-jarii

    assalaam ai be-'adiil-o-be-naziir-o-be-misaal

    assalaam ai kHush-kHayaal-o-kHush-jamaal-o-kHush-kHisaal

    assalaam ai aasmaan-e-azm ke maah-e-mubii.n

    assalaam ai dil-kash-o-ra'naa-o-rakHshinda-jabii.n

    assalaam ai qibla-e-islaam ke baab-e-aziim

    assalaam ai tuur-e-istiqlaal-o-jur.at ke kaliim

    assalaam ai maah-e-suurat ruu-kash nuur-e-jalii

    assalaam ai surkH-posh-e-aaraam-e-zahra-o-alii

    assalaam ai marja-e-ahl-e-vilaa ahl-e-nazar

    assalaam ai raah-e-diin-e-mustafaa ke raahbar

    assalaam ai raakib-e-dosh-e-rasuul-e-baa-vaqaar

    assalaam ai gulshan-e-sabr-o-tahammul kii bahaar

    assalaam ai ziinat-e-naqsh-o-nigaar-e-karbala

    assalaam ai baa.is-e-sad-iftiKHaar-e-karbalaa

    assalaam ai faatima zahraa ke dilbar assalaam

    assalaam ai 'vaasif' shaah-e-payambar assalaam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now