Sufinama

saavan kii buu.nde.n gire.n jab chhan chhan chhaa.e jiyaa pe KHumaar re

Ziya Alvi

MORE BYZiya Alvi

    saavan kii buu.nde.n gire.n jab chhan chhan chhaa.e jiyaa pe KHumaar re

    aise milan par mai.n vaarii piyarvaa tan-man moraa nisaar re

    aisii chunariyaa o.Dhaa de saa.nvariyaa jis se khile toraa pyaar re

    indr-dhanush ke ra.ngo.n me.n samaa kar aa.ii hai ab ke phuhaar re

    ruk-ruk ke barse hai tham tham ke garje gaa.e.n havaa.e.n malhaar re

    bhiige badan moraa tum sa.ng saajan laraje jiyaraa hamaar re

    mai.n hii nahii.n torii prem divaanii tujh se hai mausam ko pyaar re

    baa.nke chhabiile tose holii khelat hai saavan kii barkhaa bahaar re

    priitam barkhaa ba.Dii matvaalii aisaa kare hai si.nghaar re

    saa.nso.n kii maalaa banii sur maalaa dha.Dkan se hove guhaar re

    cham cham chamke bijlii mukh par kholo nayan ke dvaar re

    aise lipaT jaa.uu.n tum sa.ng saajan jaise gale me.n ho haar re

    araj yahii hai re bhole saajan tum hii moraa si.ngaar re

    cha.Dhtii rahe tore prem kii ga.ngaa kabhuu.n naa aa.e utaar re

    tej bahut barse hai barkhaa jor kare hai bayaar re

    ghuu.nghaT moraa khul khul jaa.e jaldii chalo tum kahaar re

    o more avagun ke daataa gun Dha.ng more sa.nvaar re

    paap hai.n itne sar par 'ziyaa' ke jinkaa naa ko.ii shumaar re

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now