mubaarak tujh ko ai nuur-e-nazar sehraa mubaarak ho

Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
mubaarak tujh ko ai nuur-e-nazar sehraa mubaarak ho
du'aa detii hai maa.n laKHt-e-jigar sehraa mubaarak ho
ba.ndhaa sehraa hu.aa masruur dil har ik baraatii kaa
kahaa sab ne KHushii se jhuum kar sehraa mubaarak ho
mubaarak vaalid-e-nausha ko raunaq-e-bazm shaadii kii
dikhaataa hai mohabbat kaa asar sehraa mubaarak ho
luTaataa hai masarrat kii mahak aur pyaar kii KHushbuu
mahaktaa hai sar-e-naushaah par sehraa mubaarak ho
du'aa hai sab kii 'anvar' KHush rahe.n duulhaa dulhan dono.n
yahii kahte hai.n arbaab-e-nazar sehraa mubaarak ho

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.