ba.ndhaa kis pyaar se mahbuub ke sar par sehraa

nuur ke phuulo.n kaa KHaaliq ne banaa kar sehraa
saare 'aalam kaa tumhe.n haq ne banaa kar duulhaa
baa.ndhaa sardaarii-e-kaunain kaa sar par sehraa
huur-o-Gilmaa.n ne kahii.n aur farishto.n ne kahii.n
gaayaa mahbuub kaa me'raaj kii shab-bhar sehraa
terii KHidmat me.n shab-o-roz hazaaro.n qudsii
bhejaa karte hai.n duruudo.n kaa banaa kar sehraa
ahl-e-bait-e-nabavii ke liye aayaa gundh kar
charKH se aaya-e-tathiir kaa athar sehraa
apnii ummat kii shafaa’at kaa ba-roz-e-mahshar
ho mubaarak tumhe.n ai shaafe'-e-mahshar sehraa
majma.a-e-hashr me.n 'faa.iq' se kahe.n kaash huzuur
ek baar aur sunaa aaj tuu pa.Dh kar sehraa

- Book : Guldasta-e-Naat (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.