Sufinama

lillaah al-hamd ki aa.ii ye gha.Dii sehre kii

Akbar Warsi Meerthi

MORE BYAkbar Warsi Meerthi

    lillaah al-hamd ki aa.ii ye gha.Dii sehre kii

    muzhda aish hai har ek la.Dii sehre kii

    hai valii-ahad ye navaab-asadullaah-KHaa.n

    is liye dhuum hai har samt ba.Dii sehre kii

    muzda-e-vasl mubaarak mujhe sadullaah-KHaa.n

    kaan me.n kahtii hai motii kii la.Dii sehre kii

    chashm-e-bad-duur farishte hai.n nigahbaa.n tere

    KHair har huur manaatii hai kha.Dii sehre kii

    le chukii chaa.nd se chehre kii balaa.e.n to la.Dii

    sar pai sadqe hu.ii paa.nv pe la.Dii sehre kii

    us se ho jaa.e.n na kyuu.n shams-o-qamar maanad ki hai

    har la.Dii arsh ke taaro.n se ju.Dii sehre kii

    ho gayaa nuurun-alaa-nuur kaa aalam jis dam

    jot chehre kii tajallii pe pa.Dii sehre kii

    sham.a kii tarah lagan me.n gul-e-shaadii barse

    phuul barsaane lagii phuul-jha.Dii sehre kii

    nazar aane lagii KHurshed ko din me.n taare

    jab chamak reshmii achkan pe pa.Dii sehre kii

    lutf jab hai ye samar-rez ho vo gul-andaaz

    chauthii khele tirii miqna.a sii la.Dii sehre kii

    vasl ho shiisha-e-saa.at kii tarah be-khaTke

    chain sone kaa mubaarak ho gha.Dii sehre kii

    saa.at-e-sa.ad me.n 'akbar' hai qiraanus-sa.adain

    jum.a kaa din hai faziilat hai ba.Dii sehre kii

    Source :
    • Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 114)
    • Author : Mohammad Akbar Warsi
    • Publication : Matba Majidi, Meerut
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now